mujhse is baat ka gila na hua
mujh se is baat kā gila na huā
jo mirā thā vahī mirā na huā
kaun hai tum pe jo fidā na huā
marne vaalā mire sivā na huā
haq bhalā kaise ek adā karte
ham se to qarz bhī adā na huā
aise rishte ko naam kyā deñge
vo jo bichhḌā magar judā na huā
kyā kiyā ham ne is pe ġhaur karo
ye na socho ki ham se kyā na huā
maslahat samjho chāhe majbūrī
maiñ kisī par kabhī ḳhafā na huā
hai 'ḳhalīl' aaj bhī nigāhoñ meñ
chhup gayā phir bhī lāpata na huā
mujh se is baat ka gila na hua
jo mera tha wahi mera na hua
kaun hai tum pe jo fida na hua
marne wala mere siwa na hua
haq bhala kaise ek ada karte
hum se to qarz bhi ada na hua
aise rishte ko nam kya denge
wo jo bichhDa magar juda na hua
kya kiya hum ne is pe ghaur karo
ye na socho ki hum se kya na hua
maslahat samjho chahe majburi
main kisi par kabhi KHafa na hua
hai 'KHalil' aaj bhi nigahon mein
chhup gaya phir bhi lapata na hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.