Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujh sin aur dilruba sin hai an-ban

Abdul Wahab yakro

mujh sin aur dilruba sin hai an-ban

Abdul Wahab yakro

MORE BYAbdul Wahab yakro

    mujh siiñ aur dilrubā siiñ hai an-ban

    kyā karūñ fan kuchh āvatī nahīñ ban

    kuchh nahīñ aatī sarv-qad siiñ ban

    phirtā hoñ gard-bād jiyūñ ban ban

    zulf terī siyāh nāgan hai

    chhīn letī hai har kisī man

    dars siiñ alam ke hai dil bezār

    ḳhūb-rūyāñ ḳhuub hai darshan

    mujh kuuñ vā'iz nako nasīhat kar

    yaar jis siiñ mile batāo fan

    yak 'yakrū' haath pahuñchtā nahīñ

    kyūñke pakḌegā yaar dāman

    mujh sin aur dilruba sin hai an-ban

    kya karun fan kuchh aawati nahin ban

    kuchh nahin aati sarw-qad sin ban

    phirta hon gard-baad jiyun ban ban

    zulf teri siyah nagan hai

    chhin leti hai har kisi ka man

    dars sin alam ke hai dil bezar

    KHub-ruyan ka KHub hai darshan

    mujh kun wa'iz nako nasihat kar

    yar jis sin mile batao fan

    yak su 'yakru' ka hath pahunchta nahin

    kyunke pakDega yar ka daman

    Source:

    diwan-e-yakro (Pg. 45)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now