mujhe aaine mein utar mujhse sawal kar
mujhe aa.ine meñ utaar mujh se savāl kar
kisī aag se mirī āgahī ko bahāl kar
zarā duur zīna-e-mehr par mirā taḳht hai
tū havā-e-shab zarā der merā ḳhayāl kar
tire saat ufuq mirī ḳhaak par haiñ khule hue
maiñ jahāñ khaḌā huuñ savāl kaase meñ Daal kar
kisī aur taal pe raqs tujh ko ravā nahīñ
tū phir aap apne badan kī lai se visāl kar
maiñ kisī bhī ruup meñ tere kaam na aa sakā
tujhe kyā milā mujhe ḳhadd-o-ḳhāl meñ Dhaal kar
mujhe aaine mein utar mujh se sawal kar
kisi aag se meri aagahi ko bahaal kar
zara dur zina-e-mehr par mera taKHt hai
tu hawa-e-shab zara der mera KHayal kar
tere sat ufuq meri KHak par hain khule hue
main jahan khaDa hun sawal kase mein Dal kar
kisi aur tal pe raqs tujh ko rawa nahin
tu phir aap apne badan ki lai se visal kar
main kisi bhi rup mein tere kaam na aa saka
tujhe kya mila mujhe KHadd-o-KHal mein Dhaal kar
- Book : Shaam Ke Baad Kuch Nahin (Pg. 65)
- Author :Shaheen Abbas
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.