Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujhe aazad kar do na sabhi pur-soz nalon se

Kashif Lashari

mujhe aazad kar do na sabhi pur-soz nalon se

Kashif Lashari

MORE BYKashif Lashari

    mujhe āzād kar do sabhī pur-soz nāloñ se

    mirī ai ḳham-zada qismat dukhoñ saḳht chāloñ se

    kahāñ se sabr laa.eñ ham kahāñ ab aur jaa.eñ ham

    bahut zaḳhm paa.e haiñ are in husn vāloñ se

    kisī ko soch kar kaise kisī soch se nikleñ

    bahut bechain rahte haiñ ka.ī aise savāloñ se

    ye ham se rūThne vaale manā.e ab nahīñ jaate

    bahut uktā ga.e haiñ ham manāne ke ḳhayāloñ se

    ḳhudā ḳhauf khaao kuchh Daro us zaat se logo

    mujhe ab mat satāo nit-na.ī gahrī ye chāloñ se

    koī nā-mehrbāñ jab hai banegā mehrbāñ kaise

    isī uljhan meñ uljhe haiñ guzishta aaTh sāloñ se

    kisī kore kāġhaz par banāyā aks thā 'kāshif'

    ki ḳhushbū ab bhī uThtī hai usī ke kaale bāloñ se

    mujhe aazad kar do na sabhi pur-soz nalon se

    meri ai KHam-zada qismat dukhon ki saKHt chaalon se

    kahan se sabr laen hum kahan ab aur jaen hum

    bahut hi zaKHm pae hain are in husn walon se

    kisi ko soch kar kaise kisi ki soch se niklen

    bahut bechain rahte hain kai aise sawalon se

    ye hum se ruThne wale manae ab nahin jate

    bahut ukta gae hain hum manane ke KHayalon se

    KHuda ka KHauf khao kuchh Daro us zat se logo

    mujhe ab mat satao nit-nai gahri ye chaalon se

    koi na-mehrban jab hai banega mehrban kaise

    isi uljhan mein uljhe hain guzishta aaTh salon se

    kisi ka kore kaghaz par banaya aks tha 'kashif'

    ki KHushbu ab bhi uThti hai usi ke kale baalon se

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now