Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujhe ab hawa-e-chaman nahin ki qafas mein guna qarar hai

Siraj Lakhnavi

mujhe ab hawa-e-chaman nahin ki qafas mein guna qarar hai

Siraj Lakhnavi

MORE BYSiraj Lakhnavi

    mujhe ab havā-e-chaman nahīñ ki qafas meñ guuna qarār hai

    ye to pichhle saal jo aa.ī thī vahī chaar din bahār hai

    haiñ jigar meñ daaġh lahū hai dil haiñ tar āñkheñ siina figār hai

    yahī rañg-o-bū yahī fasl-e-gul yahī be-kasoñ bahār hai

    koī hasb-e-hāl ḳhitāb ho mire dil ko dil na kahā karo

    use kyuuñ bahār naam do jo ḳhizāñ nasīb-e-bahār hai

    haiñ payām-e-āmad-e-shām-e-ġham ruḳh-e-āftāb zardiyāñ

    ye tamām din to kuchh aur thā magar ab charāġh-e-mazār hai

    jo guloñ ne chehre pe mal liyā jo kalī ne maañg meñ bhar liyā

    vo ghaḌī bhī aa.egī dekhnā yahī rañg ḳhūn-e-bahār he

    faqat ek ḳhaak Dher hai ye baġhaur dekh rahe ho kyā

    sar-e-lauh likkhā huā hai kuchh chalo bhī kisī mazār hai

    jo tire pasīne na de to kuchh aur hai gul-e-tar nahīñ

    jo taḌap na de tire husn vo bahār nañg-e-bahār hai

    ye maqām-e-ishq hai kaun ye haiñ kaisī sabr manzileñ

    na taḌap hai dil meñ na dard hai na sukūn hai na qarār hai

    ye sadā to hai vahī dukh bharī mire kaan jis se haiñ āshnā

    zarā chup raho mujhe sunñe do ye to mere dil pukār hai

    tire dil bhī na kalī khile tire haath TūTeñ ḳhudā kare

    jise toḌe letā hai bāġhbāñ yahī phuul jān-e-bahār hai

    ye ajab masarrat-e-ishq hai jo ik ashk ban ke Tapak paḌī

    ye 'sirāj' merā nasīb hai ki ḳhushī bhī ġham-ba-kanār hai

    mujhe ab hawa-e-chaman nahin ki qafas mein guna qarar hai

    ye to pichhle sal jo aai thi wahi chaar din ki bahaar hai

    hain jigar mein dagh lahu hai dil hain tar aankhen sina figar hai

    yahi rang-o-bu yahi fasl-e-gul yahi be-kason ki bahaar hai

    koi hasb-e-haal KHitab ho mere dil ko dil na kaha karo

    use kyun bahaar ka nam do jo KHizan nasib-e-bahaar hai

    hain payam-e-amad-e-sham-e-gham ruKH-e-aftab ki zardiyan

    ye tamam din to kuchh aur tha magar ab charagh-e-mazar hai

    jo gulon ne chehre pe mal liya jo kali ne mang mein bhar liya

    wo ghaDi bhi aaegi dekhna yahi rang KHun-e-bahaar he

    faqat ek KHak ka Dher hai ye baghaur dekh rahe ho kya

    sar-e-lauh likkha hua hai kuchh chalo bhi kisi ka mazar hai

    jo tere pasine ki bu na de to kuchh aur hai gul-e-tar nahin

    jo taDap na de tere husn ki wo bahaar nang-e-bahaar hai

    ye maqam-e-ishq hai kaun sa ye hain kaisi sabr ki manzilen

    na taDap hai dil mein na dard hai na sukun hai na qarar hai

    ye sada to hai wahi dukh bhari mere kan jis se hain aashna

    zara chup raho mujhe sunne do ye to mere dil ki pukar hai

    tere dil ki bhi na kali khile tere hath TuTen KHuda kare

    jise toDe leta hai baghban yahi phul jaan-e-bahaar hai

    ye ajab masarrat-e-ishq hai jo ek ashk ban ke Tapak paDi

    ye 'siraj' mera nasib hai ki KHushi bhi gham-ba-kanar hai

    Source:

    Shola-e-Aawaz (Pg. e-57 p-56)

    • Author: Siraj Lakhnavi
      • Edition: 1920
      • Publisher: Nizami Press, Lucknow
      • Year of Publication: 1920
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now