Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujhe bhul jaane wale teri be-ruKHi salamat

Shabnam Kamali

mujhe bhul jaane wale teri be-ruKHi salamat

Shabnam Kamali

MORE BYShabnam Kamali

    mujhe bhuul jaane vaale tirī be-ruḳhī salāmat

    ġham-e-ishq dene vaale tirī zindagī salāmat

    tirī yaad jab bhī aa.ī mire dil ne ye duā

    rahe jahāñ meñ shādāñ tirī har ḳhushī salāmat

    jo tirī nazar ne baḳhshī thī ḳhalish mire jigar ko

    hai ḳhudā gavāh merā vo hai aaj bhī salāmat

    mire āñsuoñ tūfāñ na rukā na ruk sakegā

    tire dard ne jo baḳhshī hai vo bekalī salāmat

    mirā ghar balā se raushan na huā to us kyā ġham

    mire chāñd tā-abad tirī chāñdnī salāmat

    mirī dāstān-e-ulfat jo sunī to hañs ke bole

    hai mire ġham ke sadqe tirī shā.irī salāmat

    tire girya ne 'shabnam' hai Duboī terī kashtī

    ki vo sāhil-e-baqā tak na pahuñch sakī salāmat

    mujhe bhul jaane wale teri be-ruKHi salamat

    gham-e-ishq dene wale teri zindagi salamat

    teri yaad jab bhi aai mere dil ne ye dua di

    tu rahe jahan mein shadan teri har KHushi salamat

    jo teri nazar ne baKHshi thi KHalish mere jigar ko

    hai KHuda gawah mera wo hai aaj bhi salamat

    mere aansuon ka tufan na ruka na ruk sakega

    tere dard ne jo baKHshi hai wo bekali salamat

    mera ghar bala se raushan na hua to us ka kya gham

    mere chand ta-abad tu teri chandni salamat

    meri dastan-e-ulfat jo suni to hans ke bole

    hai mere hi gham ke sadqe teri shairi salamat

    tere girya hi ne 'shabnam' hai Duboi teri kashti

    ki wo sahil-e-baqa tak na pahunch saki salamat

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now