mujhe fikr-o-sar-e-wafa hai hanuz
mujhe fikr-o-sar-e-vafā hai hanūz
bāda-e-ishq nā-rasā hai hanūz
o nazar dil se pherne vaale
dil tujhī par miTā huā hai hanūz
saarī duniyā ho nā-umīd to kyā
mujhe terā hī aasrā hai hanūz
āstāñ se abhī nazar na haTā
koī taqdīr-āzmā hai hanūz
mahviyyat be-sabab nahīñ 'sīmāb'
ruuh par koī chhā rahā hai hanūz
mujhe fikr-o-sar-e-wafa hai hanuz
baada-e-ishq na-rasa hai hanuz
o nazar dil se pherne wale
dil tujhi par miTa hua hai hanuz
sari duniya ho na-umid to kya
mujhe tera hi aasra hai hanuz
aastan se abhi nazar na haTa
koi taqdir-azma hai hanuz
mahwiyyat be-sabab nahin 'simab'
ruh par koi chha raha hai hanuz
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 245)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.