mujhe hairat hai aaKHir kya hua hai
mujhe hairat hai āḳhir kyā huā hai
mizāj-e-dostāñ badlā huā hai
havā.eñ dekh kar ḳhush ho rahī haiñ
charāġhoñ meñ dhuāñ simTā huā hai
tamām asrār-e-jāñ raushan haiñ mujh par
mirā dil jab se ā.īna huā hai
chhupā hai dostoñ meñ merā dushman
bahut din meñ ye andāza huā hai
vafā-nā-āshnā hai qalb 'fahmī'
yaqīnan aap ko dhokā huā hai
mujhe hairat hai aaKHir kya hua hai
mizaj-e-dostan badla hua hai
hawaen dekh kar KHush ho rahi hain
charaghon mein dhuan simTa hua hai
tamam asrar-e-jaan raushan hain mujh par
mera dil jab se aaina hua hai
chhupa hai doston mein mera dushman
bahut din mein ye andaza hua hai
wafa-na-ashna hai qalb 'fahmi'
yaqinan aap ko dhoka hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.