Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujhe ilzam na de tark-e-shakebai ka

Andaleeb Shadani

mujhe ilzam na de tark-e-shakebai ka

Andaleeb Shadani

MORE BYAndaleeb Shadani

    mujhe ilzām na de tark-e-shakebā.ī

    mujh se poshīda hai aalam tirī ra.anā.ī

    māna-e-jalvagarī ḳhauf hai rusvā.ī

    bas usī par tumheñ da.avā hai zuleḳhā.ī

    kyā kahūñ gar use e.ajāz-e-mohabbat na kahūñ

    husn ḳhud mahv-e-tamāshā hai tamāshā.ī

    ashk jo aañkh se bāhar nahīñ aane paatā

    ā.īna hai mire jazbāt gahrā.ī

    tere āġhosh meñ kyā jāniye kyā aalam ho

    dil dhaḌaktā hai tasavvur se tamannā.ī

    shikan-e-bistar-o-namnākī-e-bārish haiñ gavāh

    pūchh lo un se fasāna shab-e-tanhā.ī

    kashish-e-badr se chaḌhtā huā dariyā dekhā

    allāh allāh vo aalam tirī añgḌā.ī

    mujhe ilzam na de tark-e-shakebai ka

    mujh se poshida hai aalam teri ranai ka

    mana-e-jalwagari KHauf hai ruswai ka

    bas usi par tumhein dawa hai zuleKHai ka

    kya kahun gar use eajaz-e-mohabbat na kahun

    husn KHud mahw-e-tamasha hai tamashai ka

    ashk jo aankh se bahar nahin aane pata

    aaina hai mere jazbaat ki gahrai ka

    tere aaghosh mein kya jaaniye kya aalam ho

    dil dhaDakta hai tasawwur se tamannai ka

    shikan-e-bistar-o-namnaki-e-barish hain gawah

    puchh lo un se fasana shab-e-tanhai ka

    kashish-e-badr se chaDhta hua dariya dekha

    allah allah wo aalam teri angDai ka

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 115)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now