Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujhe jo dur se lagta tha aab ka dariya

Nadim Balkhi

mujhe jo dur se lagta tha aab ka dariya

Nadim Balkhi

MORE BYNadim Balkhi

    mujhe jo duur se lagtā thā aab dariyā

    gayā qarīb to paayā sarāb dariyā

    kabhī savāb ke sāhil se lag nahīñ saktī

    vo naav jis ke liye hai azaab dariyā

    ba-zāhir āb-e-ravāñ jo ik ḳhazāna hai

    haqīqatan hai vo dariyā habāb dariyā

    mutāla jo vaadī se ho ke bahtā hai

    vo hai mirī nigah-e-intiḳhāb dariyā

    parind-e-fikr parvāz jab huī hai buland

    falak se arsh pe utrā sahāb dariyā

    haqīqatoñ ke jo sāhil ko chhoḌ kar bhaTke

    milā hai un ko tasavvur meñ ḳhvāb dariyā

    sarāb-e-dasht meñ pyāsoñ ke vāste 'nādim'

    bahā diyā hai saḳhāvat ke aab dariyā

    mujhe jo dur se lagta tha aab ka dariya

    gaya qarib to paya sarab ka dariya

    kabhi sawab ke sahil se lag nahin sakti

    wo naw jis ke liye hai azab ka dariya

    ba-zahir aab-e-rawan ka jo ek KHazana hai

    haqiqatan hai wo dariya habab ka dariya

    mutala ki jo wadi se ho ke bahta hai

    wo hai meri nigah-e-intiKHab ka dariya

    parind-e-fikr ki parwaz jab hui hai buland

    falak se arsh pe utra sahab ka dariya

    haqiqaton ke jo sahil ko chhoD kar bhaTke

    mila hai un ko tasawwur mein KHwab ka dariya

    sarab-e-dasht mein pyason ke waste 'nadim'

    baha diya hai saKHawat ke aab ka dariya

    Source:

    Dhoop Mein Sehra Noridi (Pg. 31)

    • Author: Nadim Balkhi
      • Publisher: Mustafa Balkhi
      • Year of Publication: 1987
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now