Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujhe jo shaKHs qalandar dikhai deta hai

Rizwana Saeed Roz

mujhe jo shaKHs qalandar dikhai deta hai

Rizwana Saeed Roz

MORE BYRizwana Saeed Roz

    mujhe jo shaḳhs qalandar dikhā.ī detā hai

    vo mere ḳhvāb ke andar dikhā.ī detā hai

    ye lag rahā hai mirā shahr chhoḌ jā.egā

    vo āj-kal mujhe aksar dikhā.ī detā hai

    to kyā ye maan luuñ maiñ āsmāñ se uupar huuñ

    har ik sitāra zamīñ par dikhā.ī detā hai

    jo sāmne hai sarīhan nazar hai dhokā

    vo hai nahīñ jo ba-zāhir dikhā.ī detā hai

    tumhārī aañkh meñ dekhā hai sab ne dasht magar

    mujhe to in meñ samundar dikhā.ī detā hai

    mujhe jo shaKHs qalandar dikhai deta hai

    wo mere KHwab ke andar dikhai deta hai

    ye lag raha hai mera shahr chhoD jaega

    wo aaj-kal mujhe aksar dikhai deta hai

    to kya ye man lun main aasman se upar hun

    har ek sitara zamin par dikhai deta hai

    jo samne hai sarihan nazar ka hai dhoka

    wo hai nahin jo ba-zahir dikhai deta hai

    tumhaari aankh mein dekha hai sab ne dasht magar

    mujhe to in mein samundar dikhai deta hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now