aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujhe puchha hai aa kar tumne us aKHlaq-e-kaamil se

Ehsan Danish

mujhe puchha hai aa kar tumne us aKHlaq-e-kaamil se

Ehsan Danish

MORE BYEhsan Danish

    mujhe pūchhā hai aa kar tum ne us aḳhlāq-e-kāmil se

    ki maiñ sharminda ho kar rah gayā andāza-e-dil se

    nazar ke ruḳh ko to dil jānib pher lene do

    nahīñ to sāmne aa jaao uTh kar parda-e-dil se

    umīdeñ uTh rahī haiñ saikḌoñ ummīdvāroñ

    maiñ tanhā huuñ magar tanhā nahīñ uTThūñgā mahfil se

    amīr-e-kārvāñ jis raushnī ke bal pe baḌhtā hai

    nikaltā hai vo taarā sub.h hote ḳhāk-e-manzil se

    unheñ duniyā ab ashk-e-ġham kahe ḳhuun būñdeñ

    mohabbat ne charāġh āñkhoñ meñ kar rakh diye dil se

    ab us nañg-e-mohabbat se kināra bhī to mushkil hai

    mujhe jis mohabbat yaqīñ aayā thā mushkil se

    abhī to shaam hai āġhāz hai parvāna-sozī

    koī is sham.a ko āgāh kar do sub.h-e-mahfil se

    abhī tahqīq behtar hai ki phir shikva abas hogā

    ki mīr-e-kārvāñ vāqif nahīñ ādāb-e-manzil se

    miTāne se kabhī naqsh-e-mohabbat miT nahīñ saktā

    mirā afsāna niklegā tirī rūdād-e-mahfil se

    ġhanīmat hai nazar raushan hai dil ab tak dhaḌaktā hai

    mohabbat meñ to ye āsāniyāñ miltī haiñ mushkil se

    ufuq ke aa.ine meñ ho na ho dhāre ke saa.e meñ

    nazar aatī haiñ tūfānoñ sarhad jaise sāhil se

    tirā jalva to kyā ḳhud bhī tafrīh-e-nazar hotā

    mirī āñkhoñ ne ab tak bhiik māñgī nahīñ dil se

    sitam āḳhirī manzil pe iz.hār-e-pashemānī

    nikal aate haiñ aañsū yuuñ to har dukhte hue dil se

    maiñ ik zarra huuñ lekin vus.at-e-sahrā se vāqif huuñ

    uThā saktā nahīñ ḳhud mīr-e-mahfil mujh ko mahfil se

    tahayya kar liyā tañg aa ke go tark-e-ta.alluq

    magar ab fikr hai ye ḳhat unheñ likkheñge kis dil se

    mujhe 'ehsān' mere qāfile vāloñ ne ab samjhā

    ki ye zarra sitārā ban gayā taqdīr-e-manzil se

    mujhe puchha hai aa kar tum ne us aKHlaq-e-kaamil se

    ki main sharminda ho kar rah gaya andaza-e-dil se

    nazar ke ruKH ko ya to dil ki jaanib pher lene do

    nahin to samne aa jao uTh kar parda-e-dil se

    umiden uTh rahi hain saikDon ummidwaron ki

    main tanha hun magar tanha nahin uTThunga mahfil se

    amir-e-karwan jis raushni ke bal pe baDhta hai

    nikalta hai wo tara subh hote KHak-e-manzil se

    unhen duniya ab ashk-e-gham kahe ya KHun ki bunden

    mohabbat ne charagh aankhon mein la kar rakh diye dil se

    ab us nang-e-mohabbat se kinara bhi to mushkil hai

    mujhe jis ki mohabbat ka yaqin aaya tha mushkil se

    abhi to sham hai aaghaz hai parwana-sozi ka

    koi is shama ko aagah kar do subh-e-mahfil se

    abhi tahqiq behtar hai ki phir shikwa abas hoga

    ki mir-e-karwan waqif nahin aadab-e-manzil se

    miTane se kabhi naqsh-e-mohabbat miT nahin sakta

    mera afsana niklega teri rudad-e-mahfil se

    ghanimat hai nazar raushan hai dil ab tak dhaDakta hai

    mohabbat mein to ye aasaniyan milti hain mushkil se

    ufuq ke aaine mein ho na ho dhaare ke sae mein

    nazar aati hain tufanon ki sarhad jaise sahil se

    tera jalwa to kya tu KHud bhi tafrih-e-nazar hota

    meri aankhon ne ab tak bhik mangi hi nahin dil se

    sitam ki aaKHiri manzil pe izhaar-e-pashemani

    nikal aate hain aansu yun to har dukhte hue dil se

    main ek zarra hun lekin wusat-e-sahra se waqif hun

    uTha sakta nahin KHud mir-e-mahfil mujh ko mahfil se

    tahayya kar liya tang aa ke go tark-e-talluq ka

    magar ab fikr hai ye KHat unhen likkhenge kis dil se

    mujhe 'ehsan' mere qafile walon ne ab samjha

    ki ye zarra sitara ban gaya taqdir-e-manzil se

    Source:

    Ghazaliyat-e-ahsaan Danish (Pg. 260)

    • Author: Shabnam Parveen
      • Edition: 2006
      • Publisher: Asghar Publishers
      • Year of Publication: 2006
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now