Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujhe ranj hoga na maut ka agar aisi maut nasib ho

Purnam Allahabadi

mujhe ranj hoga na maut ka agar aisi maut nasib ho

Purnam Allahabadi

MORE BYPurnam Allahabadi

    mujhe ranj hogā na maut agar aisī maut nasīb ho

    mirā dam jo nikle to ai ḳhudā mire paas merā habīb ho

    hai abas davāoñ sochnā na fikrmand tabīb ho

    ilaaj us karegā kyā jo marīz-e-ishq-e-habīb ho

    kar asiir mujh ko ba-sad-ḳhushī magar itnī arz bhī sun mirī

    vahāñ qaid kar ki qafas mirā mire āshiyāñ ke qarīb ho

    jise tere husn ho ḳhabar vahī chashm-e-ishq hai mo'tabar

    baḌī ḳhush-nasīb hai vo nazar tirī diid jis ko nasīb ho

    shab-o-roz 'purnam'-e-ġham-zada rahe dard-e-dil meñ jo mubtalā

    vo qarār paa.e to kis tarah use chain kaise nasīb ho

    mujhe ranj hoga na maut ka agar aisi maut nasib ho

    mera dam jo nikle to ai KHuda mere pas mera habib ho

    hai abas dawaon ka sochna na tu fikrmand tabib ho

    tu ilaj us ka karega kya jo mariz-e-ishq-e-habib ho

    kar asir mujh ko ba-sad-KHushi magar itni arz bhi sun meri

    wahan qaid kar ki qafas mera mere aashiyan ke qarib ho

    jise tere husn ki ho KHabar wahi chashm-e-ishq hai mo'tabar

    baDi KHush-nasib hai wo nazar teri did jis ko nasib ho

    shab-o-roz 'purnam'-e-gham-zada rahe dard-e-dil mein jo mubtala

    wo qarar pae to kis tarah use chain kaise nasib ho

    Source:

    Phool Dekhe Na Gaye (Pg. 49)

    • Author: Purnam Allahabadi
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now