Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujhe rona nahin aawaz bhi bhaari nahin karni

Afzal Khan

mujhe rona nahin aawaz bhi bhaari nahin karni

Afzal Khan

MORE BYAfzal Khan

    mujhe ronā nahīñ āvāz bhī bhārī nahīñ karnī

    mohabbat kahānī meñ adākārī nahīñ karnī

    havā ke ḳhauf se lipTā huā huuñ ḳhushk Tahnī se

    kahīñ jaanā nahīñ jaane tayyārī nahīñ karnī

    tahammul ai mohabbat hijr pathrīlā ilāqa hai

    tujhe is rāste par tez-raftārī nahīñ karnī

    hamārā dil zarā uktā gayā thā ghar meñ rah rah kar

    yūñhī bāzār aa.e haiñ ḳharīdārī nahīñ karnī

    ġhazal ko kam-nigāhoñ pahuñch se duur rakhtā huuñ

    mujhe banjar dimāġhoñ meñ shajar-kārī nahīñ karnī

    vasiyyat thī mujh ko qais ne sahrā ke baare meñ

    ye merā ghar hai is chār-dīvārī nahīñ karnī

    mujhe rona nahin aawaz bhi bhaari nahin karni

    mohabbat ki kahani mein adakari nahin karni

    hawa ke KHauf se lipTa hua hun KHushk Tahni se

    kahin jaana nahin jaane ki tayyari nahin karni

    tahammul ai mohabbat hijr pathrila ilaqa hai

    tujhe is raste par tez-raftari nahin karni

    hamara dil zara ukta gaya tha ghar mein rah rah kar

    yunhi bazar aae hain KHaridari nahin karni

    ghazal ko kam-nigahon ki pahunch se dur rakhta hun

    mujhe banjar dimaghon mein shajar-kari nahin karni

    wasiyyat ki thi mujh ko qais ne sahra ke bare mein

    ye mera ghar hai is ki chaar-diwari nahin karni

    Source:

    Ghazal Calendar-2015 (Pg. 16.02.2015)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now