Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujhe to ye bhi fareb-e-hawas lagta hai

Aslam Ansari

mujhe to ye bhi fareb-e-hawas lagta hai

Aslam Ansari

MORE BYAslam Ansari

    mujhe to ye bhī fareb-e-havās lagtā hai

    vagarna kaun añdheroñ meñ saath chaltā hai

    bikhar chukī jaras-e-kārvān-e-gul sadā

    ab us ke baa'd to vāmāñdgī vaqfa hai

    jo dekhiye to sabhī kārvāñ meñ shāmil haiñ

    jo sochiye to safar meñ har ek tanhā hai

    kise ḳhabar ki ye duurī bhed kyā shai hai

    qadam uThāo to rasta bhī saath chaltā hai

    ubhar rahe haiñ jo manzar fareb-e-manzar haiñ

    jo khul rahā hai darīcha to vahm apnā hai

    talab to kar kise mā'lūm kāmgār bhī ho

    zamāna aib-o-hunar ab kahāñ parakhtā hai

    tirī sadā hai ki zulmat meñ raushnī lakīr

    tirā badan hai ki naġhmoñ dil dhaḌaktā hai

    udāsiyoñ ko na chhūne de phuul paikar

    abhī kuchh aur tujhe ahl-e-ġham pe hañsnā hai

    mirī vafā pe bhī ai dost e'tibār na kar

    mujhe bhī terī tarah sab se pyaar karnā hai

    ye pūchhnā hai ki ġhairoñ se kyā milā tujh ko

    tirī jafā shikāyat to kaun kartā hai

    chaman chaman hai agar gul-fishāñ to kyā kiije

    hameñ to apne ḳharābe ko palaTnā hai

    ye ek chaap jo barsoñ meñ sun rahā huuñ maiñ

    koī to hai jo yahāñ aa ke luuT jaatā hai

    mujhe to ye bhi fareb-e-hawas lagta hai

    wagarna kaun andheron mein sath chalta hai

    bikhar chuki jaras-e-karwan-e-gul ki sada

    ab us ke ba'd to wamandgi ka waqfa hai

    jo dekhiye to sabhi karwan mein shamil hain

    jo sochiye to safar mein har ek tanha hai

    kise KHabar ki ye duri ka bhed kya shai hai

    qadam uThao to rasta bhi sath chalta hai

    ubhar rahe hain jo manzar fareb-e-manzar hain

    jo khul raha hai daricha to wahm apna hai

    talab to kar kise ma'lum kaamgar bhi ho

    zamana aib-o-hunar ab kahan parakhta hai

    teri sada hai ki zulmat mein raushni ki lakir

    tera badan hai ki naghmon ka dil dhaDakta hai

    udasiyon ko na chhune de phul sa paikar

    abhi kuchh aur tujhe ahl-e-gham pe hansna hai

    meri wafa pe bhi ai dost e'tibar na kar

    mujhe bhi teri tarah sab se pyar karna hai

    ye puchhna hai ki ghairon se kya mila tujh ko

    teri jafa ki shikayat to kaun karta hai

    chaman chaman hai agar gul-fishan to kya kije

    hamein to apne KHarabe ko hi palaTna hai

    ye ek chap jo barson mein sun raha hun main

    koi to hai jo yahan aa ke luT jata hai

    Source:

    Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002) (Pg. 781)

      • Edition: 1969
      • Publisher: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now