Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujhe tujhse bichhaD jaane ka dukh hai

Rasheed Hasrat

mujhe tujhse bichhaD jaane ka dukh hai

Rasheed Hasrat

MORE BYRasheed Hasrat

    mujhe tujh se bichhaḌ jaane dukh hai

    kalī ke khil ke murjhāne dukh hai

    mujhe kal ne Thahrāyā thā lekin

    jahāñ ko aaj Thukrāne dukh hai

    vafā paane dil meñ aarzū thī

    tamāshā ban ke rah jaane dukh hai

    tujhe sau baar samjhāyā thā maiñ ne

    magar ab tere kumhlāne dukh hai

    jagātā hai mujhe shab bhar tirā ġham

    ḳhushī apnī na begāne dukh hai

    lagā kuchh jhaḌte patte dekh kar yuuñ

    mire tanhā chale aane dukh hai

    agarche aaj 'hasrat' chup hai lekin

    tirī tanqīd ta.ane dukh hai

    mujhe tujh se bichhaD jaane ka dukh hai

    kali ke khil ke murjhane ka dukh hai

    mujhe kal tu ne Thahraya tha lekin

    jahan ko aaj Thukrane ka dukh hai

    wafa pane ki dil mein aarzu thi

    tamasha ban ke rah jaane ka dukh hai

    tujhe sau bar samjhaya tha main ne

    magar ab tere kumhlane ka dukh hai

    jagata hai mujhe shab bhar tera gham

    KHushi apni na begane ka dukh hai

    laga kuchh jhaDte patte dekh kar yun

    mere tanha chale aane ka dukh hai

    agarche aaj 'hasrat' chup hai lekin

    teri tanqid ka tane ka dukh hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now