Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujhe wafa-dariyon ki aadat kabhi nahin thi

Ahmad Sageer

mujhe wafa-dariyon ki aadat kabhi nahin thi

Ahmad Sageer

MORE BYAhmad Sageer

    mujhe vafā-dāriyoñ aadat kabhī nahīñ thī

    mere yahāñ ye ġhalat rivāyat kabhī nahīñ thī

    hamāre matlab chiiz ik be-badan shab thī

    hameñ tumhāre badan hājat kabhī nahīñ thī

    tumhāre hoñToñ kah diyā hai kisī ne shāyad

    vagarna phūloñ meñ ye nazākat kabhī nahīñ thī

    maiñ is se pahle bhī vahshatoñ meñ rahā huuñ lekin

    jo aaj hai pahle aisī hālat kabhī nahīñ thī

    mire sabhī mas.ale falak vaale dekhte the

    mujhe zamīñ se koī shikāyat kabhī nahīñ thī

    vo mujh meñ apnā bichhaḌ chukā ishq gayā thā

    haañ us ko mujh se koī mohabbat kabhī nahīñ thī

    tumhāre bandoñ ko dekh kar aisā lag rahā hai

    inheñ ḳhudā koī zarūrat kabhī nahīñ thī

    mujhe wafa-dariyon ki aadat kabhi nahin thi

    mere yahan ye ghalat riwayat kabhi nahin thi

    hamare matlab ki chiz ek be-badan ki shab thi

    hamein tumhaare badan ki hajat kabhi nahin thi

    tumhaare honTon sa kah diya hai kisi ne shayad

    wagarna phulon mein ye nazakat kabhi nahin thi

    main is se pahle bhi wahshaton mein raha hun lekin

    jo aaj hai pahle aisi haalat kabhi nahin thi

    mere sabhi masale falak wale dekhte the

    mujhe zamin se koi shikayat kabhi nahin thi

    wo mujh mein apna bichhaD chuka ishq pa gaya tha

    han us ko mujh se koi mohabbat kabhi nahin thi

    tumhaare bandon ko dekh kar aisa lag raha hai

    inhen KHuda ki koi zarurat kabhi nahin thi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now