Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujhe wo kaifiyat apni batane kyun nahin aaya

Rehana Qamar

mujhe wo kaifiyat apni batane kyun nahin aaya

Rehana Qamar

MORE BYRehana Qamar

    mujhe vo kaifiyat apnī batāne kyuuñ nahīñ aayā

    tujhe ma.alūm to hogā zamāne kyuuñ nahīñ aayā

    vo sūraj hai to phir us ke na aane sabab kyā hai

    mire saa.e se milne ke bahāne kyuuñ nahīñ aayā

    maiñ us ko khīñchtī rah ga.ī lekin na aayā vo

    vo merā saañs thā aur saañs jaane kyuuñ nahīñ aayā

    mirī ḳhālī kalā.ī kah rahī hai iid shab ko

    vo ab tak chūḌiyāñ le kar na jaane kyuuñ nahīñ aayā

    bahut da.avā thā us ko dil baazī jiit jaane

    to phir is khel meñ mujh ko harāne kyuuñ nahīñ aayā

    darīcha khol ke kab se sarāpā gosh baiThī huuñ

    koī mausam tirī bāteñ sunāne kyoñ nahīñ aayā

    vo kahtā thā ki us guftugū hai aa.ine jaisī

    to phir chehra mirā mujh ko dikhāne kyuuñ nahīñ aayā

    mujhe wo kaifiyat apni batane kyun nahin aaya

    tujhe malum to hoga zamane kyun nahin aaya

    wo suraj hai to phir us ke na aane ka sabab kya hai

    mere sae se milne ke bahane kyun nahin aaya

    main us ko khinchti hi rah gai lekin na aaya wo

    wo mera sans tha aur sans jaane kyun nahin aaya

    meri KHali kalai kah rahi hai id ki shab ko

    wo ab tak chuDiyan le kar na jaane kyun nahin aaya

    bahut dawa tha us ko dil ki bazi jit jaane ka

    to phir is khel mein mujh ko harane kyun nahin aaya

    daricha khol ke kab se sarapa gosh baiThi hun

    koi mausam teri baaten sunane kyon nahin aaya

    wo kahta tha ki us ki guftugu hai aaine jaisi

    to phir chehra mera mujh ko dikhane kyun nahin aaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now