mujhe yaad hai wo mausam wo KHizan bahaar karna
mujhe yaad hai vo mausam vo ḳhizāñ bahār karnā
vo mohabbatoñ kī bāteñ vahī dil shikār karnā
vahī dhuup meñ nahānā tirī ik jhalak kī ḳhātir
bharī dopahar meñ chhat par tirā intizār karnā
tirā fāsle se milnā vo nazar bachā bachā kar
tujhe chheḌnā satānā tujhe sharmsār karnā
mire lams kī mahak meñ base pahle pahle ḳhat ko
tirā be-panāh āñkhoñ se lagā ke pyaar karnā
vahī niiñd meñ saraknā vahī ḳhvāb meñ bahaknā
vahī be-sukūn rāteñ vahī be-qarār karnā
tirā mujh se ruuTh jaanā vo zarā sī dil-lagī par
vo shikāyateñ musalsal yuñhī be-shumār karnā
mujhe yaad hai wo mausam wo KHizan bahaar karna
wo mohabbaton ki baaten wahi dil shikar karna
wahi dhup mein nahana teri ek jhalak ki KHatir
bhari dopahar mein chhat par tera intizar karna
tera fasle se milna wo nazar bacha bacha kar
tujhe chheDna satana tujhe sharmsar karna
mere lams ki mahak mein base pahle pahle KHat ko
tera be-panah aankhon se laga ke pyar karna
wahi nind mein sarakna wahi KHwab mein bahakna
wahi be-sukun raaten wahi be-qarar karna
tera mujh se ruTh jaana wo zara si dil-lagi par
wo shikayaten musalsal yunhi be-shumar karna
- Book : Ishq (Pg. 37)
- Author :Moid Rasheedi
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.