mujhe yaad hasb-e-zarurat kare hai
mujhe yaad hasb-e-zarūrat kare hai
maiñ samjhā thā 'ahras' mohabbat kare hai
nahīñ chāhtā hai bhalā terā vo bhī
jo kahtā hai tujh se mohabbat kare hai
hamesha se matlab kī jā hai ye duniyā
yahāñ kaun kis se mohabbat kare hai
bhalā us se koī mohabbat kare kyoñ
jo kahtā hai sab se mohabbat kare hai
vo dhoke pe dhokā hī khaa.e hamesha
vahī jo mohabbat mohabbat kare hai
koī hai yahāñ par ke jis se vo kah de
ki 'ahras' ye tujh se mohabbat kare hai
mujhe yaad hasb-e-zarurat kare hai
main samjha tha 'ahras' mohabbat kare hai
nahin chahta hai bhala tera wo bhi
jo kahta hai tujh se mohabbat kare hai
hamesha se matlab ki ja hai ye duniya
yahan kaun kis se mohabbat kare hai
bhala us se koi mohabbat kare kyon
jo kahta hai sab se mohabbat kare hai
wo dhoke pe dhoka hi khae hamesha
wahi jo mohabbat mohabbat kare hai
koi hai yahan par ke jis se wo kah de
ki 'ahras' ye tujh se mohabbat kare hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.