Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujhe ye sun ke hairani bahut hai

Nazim Ashraf

mujhe ye sun ke hairani bahut hai

Nazim Ashraf

MORE BYNazim Ashraf

    mujhe ye sun ke hairānī bahut hai

    tumhārī aañkh meñ paanī bahut hai

    tire dil pe hukūmat chāhtā huuñ

    mujhe itnī sultānī bahut hai

    mujhe apnā muḳhālif māntā hai

    mire beTe meñ nādānī bahut hai

    kisī ke sāmne hājat to rakh deñ

    magar is meñ pashemānī bahut hai

    ilāhī is maraz se duur rakhnā

    mohabbat meñ pareshānī bahut hai

    mirī barbādiyoñ meñ 'nāzim'-ashraf

    mire apnoñ qurbānī bahut hai

    mujhe ye sun ke hairani bahut hai

    tumhaari aankh mein pani bahut hai

    tere dil pe hukumat chahta hun

    mujhe itni hi sultani bahut hai

    mujhe apna muKHalif manta hai

    mere beTe mein nadani bahut hai

    kisi ke samne hajat to rakh den

    magar is mein pashemani bahut hai

    ilahi is maraz se dur rakhna

    mohabbat mein pareshani bahut hai

    meri barbaadiyon mein 'nazim'-ashraf

    mere apnon ki qurbani bahut hai

    Source:

    Scan File Mail By Salim Saleem

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now