aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujhi se puchh raha tha mera pata koi

Majid-ul-Baqri

mujhi se puchh raha tha mera pata koi

Majid-ul-Baqri

MORE BYMajid-ul-Baqri

    mujhī se pūchh rahā thā mirā patā koī

    butoñ ke shahr meñ maujūd thā ḳhudā koī

    ḳhamoshiyoñ chaTānoñ ko toḌne ke liye

    kisī ke paas nahīñ tīsha-e-sadā koī

    daraḳht haath uThā kar salām karte the

    mire junūñ mubārak thā marhala koī

    samajh sakā na magar koī pattharoñ zabāñ

    har ek lamha lagā boltā huā koī

    ye band lab haiñ ki koī khulī huī kitāb

    mire savāl pe is dam to boltā koī

    varaq pe raat ke likkhī hai sub.h tahrīr

    ye ek vaqt hai be-rañg-o-nūr koī

    na harf harf huā aks-e-guftugū merā

    samajhnā chāho to le aao ā.īna koī

    ik āñ.suoñ samundar thā jal-parī libās

    milā to aaise milā paikar-e-vafā koī

    har ek zehan meñ apne band hai 'mājid'

    fazā ke ḳhol se bāhar hai rāsta koī

    mujhi se puchh raha tha mera pata koi

    buton ke shahr mein maujud tha KHuda koi

    KHamoshiyon ki chaTanon ko toDne ke liye

    kisi ke pas nahin tisha-e-sada koi

    daraKHt hath uTha kar salam karte the

    mere junun ka mubarak tha marhala koi

    samajh saka na magar koi pattharon ki zaban

    har ek lamha laga bolta hua koi

    ye band lab hain ki koi khuli hui si kitab

    mere sawal pe is dam to bolta koi

    waraq pe raat ke likkhi hai subh ki tahrir

    ye ek waqt hai be-rang-o-nur sa koi

    na harf harf hua aks-e-guftugu mera

    samajhna chaho to le aao aaina koi

    ek aansuon ka samundar tha jal-pari ka libas

    mila to aaise mila paikar-e-wafa koi

    har ek zehan mein apne hi band hai 'majid'

    faza ke KHol se bahar hai rasta koi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now