Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mukaddar hi tha kuchh aisa hamara

Chandni Pandey

mukaddar hi tha kuchh aisa hamara

Chandni Pandey

MORE BYChandni Pandey

    mukaddar thā kuchh aisā hamārā

    safar kaTtā rahā tanhā hamārā

    ka.ī chehroñ ġham hai is meñ shāmil

    hamārā hai kahāñ chehra hamārā

    vo bhūle aur ham bhūle na un ko

    ta.alluq hai yahī un hamārā

    hameñ manzil pe aa kar ye ḳhalish hai

    palaT jaate to kyā jaatā hamārā

    nibhāne musalsal koshishoñ meñ

    bigaḌtā gayā rishta hamārā

    chiḌhātā hai koī lahroñ ko aksar

    banā kar ret par naqsha hamārā

    hai apnī 'chāñdnī' chaar din

    bigāḌegī kyā duniyā hamārā

    mukaddar hi tha kuchh aisa hamara

    safar kaTta raha tanha hamara

    kai chehron ka gham hai is mein shamil

    hamara hai kahan chehra hamara

    wo bhule aur hum bhule na un ko

    talluq hai yahi un ka hamara

    hamein manzil pe aa kar ye KHalish hai

    palaT jate to kya jata hamara

    nibhane ki musalsal koshishon mein

    bigaDta hi gaya rishta hamara

    chiDhata hai koi lahron ko aksar

    bana kar ret par naqsha hamara

    hai apni 'chandni' hi chaar din ki

    bigaDegi hi kya duniya hamara

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now