Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

muKhaalifin bhi hon to salam karna hai

Sahir Lakhnavi

muKhaalifin bhi hon to salam karna hai

Sahir Lakhnavi

MORE BYSahir Lakhnavi

    muḳhālifīn bhī hoñ to salām karnā hai

    hameñ ḳhulūs-o-mohabbat se kaam karnā hai

    yahī hai ḳhvāhish-o-armāñ ki sab ke kaam aa.uuñ

    yahī hai kaam zarūrī ye kaam karnā hai

    ye zindagī hai ḳhud ehsān is ke badle meñ

    ḳhudā shukr hameñ sub.h-o-shām karnā hai

    na phuuT Daal sakegā koī hamāre biich

    ham ek haiñ hameñ charchā ye aam karnā hai

    ġhamoñ se laakh huuñ majbūr phir bhī duniyā meñ

    sabhī ko pesh masarrat jaam karnā hai

    dukhī diloñ ke madad-gār jis meñ hoñ 'sāhir'

    jahāñ meñ ham ko vo raa.ij nizām karnā hai

    muKHalifin bhi hon to salam karna hai

    hamein KHulus-o-mohabbat se kaam karna hai

    yahi hai KHwahish-o-arman ki sab ke kaam aaun

    yahi hai kaam zaruri ye kaam karna hai

    ye zindagi hai KHud ehsan is ke badle mein

    KHuda ka shukr hamein subh-o-sham karna hai

    na phuT Dal sakega koi hamare bich

    hum ek hain hamein charcha ye aam karna hai

    ghamon se lakh hun majbur phir bhi duniya mein

    sabhi ko pesh masarrat ka jam karna hai

    dukhi dilon ke madad-gar jis mein hon 'sahir'

    jahan mein hum ko wo raij nizam karna hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now