muKHtasar si wo mulaqat bahut achchhi thi

Kewal Krishan Rishi

muKHtasar si wo mulaqat bahut achchhi thi

Kewal Krishan Rishi

MORE BYKewal Krishan Rishi

  muḳhtasar vo mulāqāt bahut achchhī thī

  chand lafzoñ meñ Dhalī baat bahut achchhī thī

  lamha lamha kisī ummīd pe jab guzrā thā

  din bahut ḳhuub thā vo raat bahut achchhī thī

  be-qarārī meñ jab dil ko qarār aatā thā

  haa.e vo shiddat-e-jazbāt bahut achchhī thī

  husn ke rañg the har pahlū numāyāñ jis meñ

  apnī tasvīr-e-ḳhayālāt bahut achchhī thī

  āñkheñ bhar aa.ī thiiñ milte bichhaḌte un se

  donoñ vaqtoñ vo barsāt bahut achchhī thī

  chāhnā bhī unheñ aur muñh se na kuchh bhī kahnā

  dil ḳhāmosh munājāt bahut achchhī thī

  lab pe aa jaatī to kuchh aur bhī achchhā thā 'rishī'

  aap ke dil meñ jo thī baat bahut achchhī thī

  muKHtasar si wo mulaqat bahut achchhi thi

  chand lafzon mein Dhali baat bahut achchhi thi

  lamha lamha kisi ummid pe jab guzra tha

  din bahut KHub tha wo raat bahut achchhi thi

  be-qarari hi mein jab dil ko qarar aata tha

  hae wo shiddat-e-jazbaat bahut achchhi thi

  husn ke rang the har pahlu numayan jis mein

  apni taswir-e-KHayalat bahut achchhi thi

  aankhen bhar aai thin milte ya bichhaDte un se

  donon waqton ki wo barsat bahut achchhi thi

  chahna bhi unhen aur munh se na kuchh bhi kahna

  dil ki KHamosh munajat bahut achchhi thi

  lab pe aa jati to kuchh aur bhi achchha tha 'rishi'

  aap ke dil mein jo thi baat bahut achchhi thi

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY