Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

muKHtasar ye hai haqiqat ishq ke aazar ki

Ishrat Safipuri

muKHtasar ye hai haqiqat ishq ke aazar ki

Ishrat Safipuri

MORE BYIshrat Safipuri

    muḳhtasar ye hai haqīqat ishq ke āzār

    umr-bhar tīmār-dārī dil-e-bīmār

    chain lene de dil-e-muztar kisī dam bahr-e-shaġhl

    ne o kam-baḳht ab to zindagī dushvār

    hijr shab sochtā huuñ maiñ kahāñ huuñ kaun huuñ

    dekhtā huuñ ġhaur se sūrat dar-o-dīvār

    ab to ghabrā gayā hūr-o-jināñ ke zikr se

    hazrat-e-vā.iz bhalā had hai koī tūmār

    āh-o-zārī kabhī aḳhtar-shumārī kabhī

    kis musībat se kaTī hai raat hijr-e-yār

    ḳhuub soche hazrat-e-vā.iz jo chupke ga.e

    laaj rakh aap ne jo jubba-o-dastār

    ġham nahīñ kuchh bah gayā āñkhoñ se gar ḳhūn-e-jigar

    ho ga.ī puurī ḳhushī to dīda-e-ḳhūñ-bār

    aaj kyā samjhā hai saaqī ne jo mai detā nahīñ

    maiñ ne tauba is se pahle bhī to lākhoñ baar

    ai asīrān-e-qafas kyā ā.eñge aise bhī dil

    phir kabhī dekheñge sūrat ham gul-o-gulzār

    ab to vo har baat par kar dete haiñ fauran nahīñ

    paḌ ga.ī hai aisī kuchh aadat unheñ inkār

    aaj kuchh barham the vo bhī aur ham bhī the bhare

    bātoñ bātoñ meñ naubat aa ga.ī takrār

    de chukī jab naza.a hālat meñ goyā.ī javāb

    pūchhne baiThe haiñ ḳhvāhish aah ab bīmār

    har qadam par ābloñ se ik na.ī taklīf hai

    kis tarah tai hogī manzil vādī-e-pur-ḳhār

    ho sakī 'ishrat' na koshish aah koī kāmyāb

    har ghaḌī karte rahe tadbīr vasl-e-yār

    muKHtasar ye hai haqiqat ishq ke aazar ki

    umr-bhar timar-dari ki dil-e-bimar ki

    chain lene de dil-e-muztar kisi dam bahr-e-shaghl

    tu ne o kam-baKHt ab to zindagi dushwar ki

    hijr ki shab sochta hun main kahan hun kaun hun

    dekhta hun ghaur se surat dar-o-diwar ki

    ab to ji ghabra gaya hur-o-jinan ke zikr se

    hazrat-e-waiz bhala had hai koi tumar ki

    aah-o-zari ki kabhi aKHtar-shumari ki kabhi

    kis musibat se kaTi hai raat hijr-e-yar ki

    KHub soche hazrat-e-waiz jo chupke pi gae

    laj rakh li aap ne jo jubba-o-dastar ki

    gham nahin kuchh bah gaya aankhon se gar KHun-e-jigar

    ho gai puri KHushi to dida-e-KHun-bar ki

    aaj kya samjha hai saqi ne jo mai deta nahin

    main ne tauba is se pahle bhi to lakhon bar ki

    ai asiran-e-qafas kya aaenge aise bhi dil

    phir kabhi dekhenge surat hum gul-o-gulzar ki

    ab to wo har baat par kar dete hain fauran nahin

    paD gai hai aisi kuchh aadat unhen inkar ki

    aaj kuchh barham the wo bhi aur hum bhi the bhare

    baaton hi baaton mein naubat aa gai takrar ki

    de chuki jab naza ki haalat mein goyai jawab

    puchhne baiThe hain KHwahish aah ab bimar ki

    har qadam par aablon se ek nai taklif hai

    kis tarah tai hogi manzil wadi-e-pur-KHar ki

    ho saki 'ishrat' na koshish aah koi kaamyab

    har ghaDi karte rahe tadbir wasl-e-yar ki

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now