Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mulk-o-mazhab na zaban ka koi jhagDa rakhiye

Mohammad Hashmat Raza Sahil

mulk-o-mazhab na zaban ka koi jhagDa rakhiye

Mohammad Hashmat Raza Sahil

MORE BYMohammad Hashmat Raza Sahil

    mulk-o-maz.hab na zabāñ koī jhagḌā rakhiye

    aap insāñ haiñ to insān se rishta rakhiye

    baat karte hue mahfil meñ salīqa rakhiye

    apne aslāf kuchh taur tarīqa rakhiye

    ġham tārīkī ehsās na hone paa.e

    apne chehre pe tabassum ujālā rakhiye

    apne shāne se mirā haath jhaTak dete haiñ

    un ke aage jo kabhī arz-e-tamannā rakhiye

    āsmāñ zer-e-qadam rakhiye zamīñ par rah kar

    ishq-o-iḳhlās andāz nirālā rakhiye

    saath detā hai yahāñ kaun kisī 'sāhil'

    hausla apnā har ik gaam pe baalā rakhiye

    mulk-o-mazhab na zaban ka koi jhagDa rakhiye

    aap insan hain to insan se rishta rakhiye

    baat karte hue mahfil mein saliqa rakhiye

    apne aslaf ka kuchh taur tariqa rakhiye

    gham ki tariki ka ehsas na hone pae

    apne chehre pe tabassum ka ujala rakhiye

    apne shane se mera hath jhaTak dete hain

    un ke aage jo kabhi arz-e-tamanna rakhiye

    aasman zer-e-qadam rakhiye zamin par rah kar

    ishq-o-iKHlas ka andaz nirala rakhiye

    sath deta hai yahan kaun kisi ka 'sahil'

    hausla apna har ek gam pe baala rakhiye

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now