mulk par jaan gar luTa li hai
mulk par jaan gar luTā lī hai
samjho 'izzat bahut kamā lī hai
zindagī meñ vo ḳhush rahe kyūñkar
pyaar se ziist jis kī ḳhālī hai
is ko jur.at bhale kahe duniyā
dil meñ tasvīr sī sajā lī hai
us ke dil meñ na koī hai ulfat
dekh jis ne nazar jhukā lī hai
aas jiine kī vo to kho baiThe
jis ne hasrat yahāñ miTā lī hai
mulk par jaan gar luTa li hai
samjho 'izzat bahut kama li hai
zindagi mein wo KHush rahe kyunkar
pyar se zist jis ki KHali hai
is ko jurat bhale kahe duniya
dil mein taswir si saja li hai
us ke dil mein na koi hai ulfat
dekh jis ne nazar jhuka li hai
aas jine ki wo to kho baiThe
jis ne hasrat yahan miTa li hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.