Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mumkin hai gar to sare ka sara uTha ke bhag

Tasnim Abbas Quraishi

mumkin hai gar to sare ka sara uTha ke bhag

Tasnim Abbas Quraishi

MORE BYTasnim Abbas Quraishi

    mumkin hai gar to saare saarā uThā ke bhaag

    varna khañDar se yaad malba uThā ke bhaag

    puurā uThā ke bhaag aadhā uThā ke bhaag

    ab aa gayā hai to ġham-e-duniyā uThā ke bhaag

    koī zamāna aayā nahīñ hai kisī ko raas

    behtar yahī hai apnā zamāna uThā ke bhaag

    DhūñDe se bhī milegā tamāshā.ī kab yahāñ

    qaht-ur-rijāl meñ tamāshā uThā ke bhaag

    tishna-labī ab jo gila kar rahā hai dost

    kis ne kahā thā sar pe sahrā uThā ke bhaag

    manzil tire nasīb meñ likkhī nahīñ ga.ī

    rasta dastyāb hai rasta uThā ke bhaag

    'tasnīm' āḳhirash tujhe banñā hai rizq-e-ḳhāk

    filhāl apne hisse daana uThā ke bhaag

    mumkin hai gar to sare ka sara uTha ke bhag

    warna khanDar se yaad ka malba uTha ke bhag

    pura uTha ke bhag ya aadha uTha ke bhag

    ab aa gaya hai to gham-e-duniya uTha ke bhag

    koi zamana aaya nahin hai kisi ko ras

    behtar yahi hai apna zamana uTha ke bhag

    DhunDe se bhi milega tamashai kab yahan

    qaht-ur-rijal mein tu tamasha uTha ke bhag

    tishna-labi ka ab jo gila kar raha hai dost

    kis ne kaha tha sar pe tu sahra uTha ke bhag

    manzil tere nasib mein likkhi nahin gai

    rasta hi dastyab hai rasta uTha ke bhag

    'tasnim' aaKHirash tujhe banna hai rizq-e-KHak

    filhaal apne hisse ka dana uTha ke bhag

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now