Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mumkin hai phir talafi-e-mafat ho na ho

Faiz Tabassum Tonsvi

mumkin hai phir talafi-e-mafat ho na ho

Faiz Tabassum Tonsvi

MORE BYFaiz Tabassum Tonsvi

    mumkin hai phir talāfī-e-māfāt ho na ho

    aa ki is ke baa'd koī baat ho na ho

    shāyad ki ziist saañs bhī lene na de hameñ

    shāyad ki is ke baa'd mulāqāt ho na ho

    ab tak to āñsuoñ jhaḌī hai lagī huī

    phir kaun jāntā hai ki barsāt ho na ho

    ik apne jiite ho charāġhāñ ehtimām

    marne ke baa'd phir koī bārāt ho na ho

    do chaar jaam lo azīzo ki kyā ḳhabar

    saaqī ham pe chashm-e-ināyāt ho na ho

    ye bekasī raat ġhanīmat hai 'faiz'

    phir se ye bekasī kabhī raat ho na ho

    mumkin hai phir talafi-e-mafat ho na ho

    aa ja ki is ke ba'd koi baat ho na ho

    shayad ki zist sans bhi lene na de hamein

    shayad ki is ke ba'd mulaqat ho na ho

    ab tak to aansuon ki jhaDi hai lagi hui

    phir kaun jaanta hai ki barsat ho na ho

    ek apne jite ji ho charaghan ka ehtimam

    marne ke ba'd phir koi baraat ho na ho

    do chaar jam pi lo azizo ki kya KHabar

    saqi ki hum pe chashm-e-inayat ho na ho

    ye bekasi ki raat ghanimat hai 'faiz' ji

    phir se ye bekasi ki kabhi raat ho na ho

    Source:

    Lauh-e-Ayyam (Pg. 22)

    • Author: Faiz Tabassum Tonsvi
      • Publisher: Faiz Academy, Karachi
      • Year of Publication: 1998
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now