Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

munafe mein kahan aisi jo lazzat hai KHasare mein

Rasheed Hasrat

munafe mein kahan aisi jo lazzat hai KHasare mein

Rasheed Hasrat

MORE BYRasheed Hasrat

    munāfe meñ kahāñ aisī jo lazzat hai ḳhasāre meñ

    ye faanī zindagī jaise havā phūle ġhubāre meñ

    yahāñ se ḳhush ga.ī maike vahāñ se phuul ke lauTī

    bhare haiñ kaan begam ke kisī ne mere baare meñ

    kisī se pūchhne par jab javāb aa.e guzārā hai

    baḌā mafhūm poshīda hai samjho is guzāre meñ

    havas ne zar mujh ko ḳhuun ke rishtoñ se uljhāyā

    na aatā kaash maiñ mādām daulat ke laare meñ

    utarte haiñ to yaaro jaan se jaane andesha

    ba-zāhir to baḌī dilkashī dariyā-kināre meñ

    dahakte lab ghanī zulfeñ ye palkeñ shāmiyānoñ

    kamī kyā rah ga.ī logo mire zohra sitāre meñ

    mire baabā ne ġhurbat meñ bhī rāhat kiyā sāmāñ

    hameñ sukh de ke aksar ḳhud rahā hai ġham ke dhāre meñ

    mirī maañ nazar meñ maiñ jahāñ se ḳhūbsūrat thā

    nahīñ kuchh jāzbiyyat ab usī āñkhoñ ke taare meñ

    ibādat karne vāloñ se 'rashīd' itnī guzārish hai

    mohabbat ibādat zikr paa.eñ paare paare meñ

    munafe mein kahan aisi jo lazzat hai KHasare mein

    ye fani zindagi jaise hawa phule ghubare mein

    yahan se KHush gai maike wahan se phul ke lauTi

    bhare hain kan begam ke kisi ne mere bare mein

    kisi se puchhne par jab jawab aae guzara hai

    baDa mafhum poshida hai samjho is guzare mein

    hawas ne zar ki mujh ko KHun ke rishton se uljhaya

    na aata kash main madam ki daulat ke lare mein

    utarte hain to yaro jaan se jaane ka andesha

    ba-zahir to baDi hi dilkashi dariya-kinare mein

    dahakte lab ghani zulfen ye palken shamiyanon si

    kami kya rah gai logo mere zohra sitare mein

    mere baba ne ghurbat mein bhi rahat ka kiya saman

    hamein sukh de ke aksar KHud raha hai gham ke dhaare mein

    meri man ki nazar mein main jahan se KHubsurat tha

    nahin kuchh jazbiyyat ab usi aankhon ke tare mein

    ibaadat karne walon se 'rashid' itni guzarish hai

    mohabbat hi ibaadat zikr paen pare pare mein

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now