Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

munh dekha kiye hum aaine ka

Syed Mujeebul Hasan

munh dekha kiye hum aaine ka

Syed Mujeebul Hasan

MORE BYSyed Mujeebul Hasan

    muñh dekhā kiye ham aa.ine

    hāsil hai yahī to ratjage

    aa.eñ jo pahāḌ bhī to kyā ġham

    raahī huuñ havā ke rāste

    dil hai mirā ḳhānqāh merī

    maiñ miir huuñ apne silsile

    kyā ab hai hunar-varī meñ rakkhā

    ye daur hai dhun aur gale

    baiThe haiñ sarāb har qadam par

    mumkin nahīñ bachnā qāfile

    haiñ saarī jihāt dastaras meñ

    be-kār hai zikr fāsle

    ḳhud meñ to nahīñ hai kuchh añdherā

    ghar jhāñk rahā hai dūsre

    dīvār-e-anā giregī kaise

    hal koī nikālo mas.ale

    ho jaa.eñ judā to mar jaa.eñ

    rishta hai lavoñ se kyā diye

    kahnā to bahut maiñ chāhtā huuñ

    dāman hai tañg qāfiye

    ash.ār-e-'mujīb' paḌh ke dekho

    māhir huuñ har ek zāviye

    munh dekha kiye hum aaine ka

    hasil hai yahi to ratjage ka

    aaen jo pahaD bhi to kya gham

    rahi hun hawa ke raste ka

    dil hai mera KHanqah meri

    main mir hun apne silsile ka

    kya ab hai hunar-wari mein rakkha

    ye daur hai dhun ka aur gale ka

    baiThe hain sarab har qadam par

    mumkin nahin bachna qafile ka

    hain sari jihat dastaras mein

    be-kar hai zikr fasle ka

    KHud mein to nahin hai kuchh andhera

    ghar jhank raha hai dusre ka

    diwar-e-ana giregi kaise

    hal koi nikalo masale ka

    ho jaen juda to mar hi jaen

    rishta hai lawon se kya diye ka

    kahna to bahut main chahta hun

    daman hai tang qafiye ka

    ashaar-e-'mujib' paDh ke dekho

    mahir hun har ek zawiye ka

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now