Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

munh mein jis ke tu shab-e-wasl zaban deta hai

Mushafi Ghulam Hamdani

munh mein jis ke tu shab-e-wasl zaban deta hai

Mushafi Ghulam Hamdani

MORE BYMushafi Ghulam Hamdani

    muñh meñ jis ke shab-e-vasl zabāñ detā hai

    sub.h tak maare maze ke vo jaañ detā hai

    bosa dene ko to kahtā hai vo mujh se lekin

    maiñ jo chāhūñ ki abhī de so kahāñ detā hai

    nāqa-gar gum na kare raah to ḳhud reg-e-ravāñ

    ustuḳhvāñ reza-e-majnūñ nishāñ detā hai

    sub.h-ḳhezoñ ko bhī maut aa ga.ī kyā hijr shab

    murġh bole hai na mullā azaañ detā hai

    kuchh to jagah hai mirī dil meñ bhī us ke varna

    ġhairoñ ko yuuñ koī pahlū meñ makāñ detā hai

    dil o jaañ mujh se vo māñge hai bahā-e-bosa

    hai to saudā bahut achchhā pe girāñ detā hai

    ye dam-e-sard hai kis ki har ik naḳhl-ba-bāġh

    yād-e-be-bargi-e-ayyām-e-ḳhizāñ detā hai

    phuul jhaḌte haiñ muñh us ke se hazāroñ mujh ko

    gāliyāñ gar kabhī vo ġhuncha-dahāñ detā hai

    jaan darvāze par us ke maiñ kar dūñgā

    iztirāb-e-dil agar mujh ko amaañ detā hai

    'mus.hafī' maiñ hadaf-e-nāz huuñ aur vaañ ġhamza

    dam-ba-dam dast-e-taġhāful meñ kamāñ detā hai

    munh mein jis ke tu shab-e-wasl zaban deta hai

    subh tak mare maze hi ke wo jaan deta hai

    bosa dene ko to kahta hai wo mujh se lekin

    main jo chahun ki abhi de so kahan deta hai

    naqa-gar gum na kare rah to KHud reg-e-rawan

    ustuKHwan reza-e-majnun ka nishan deta hai

    subh-KHezon ko bhi maut aa gai kya hijr ki shab

    murgh bole hai na mulla hi azan deta hai

    kuchh to jagah hai meri dil mein bhi us ke warna

    ghairon ko yun koi pahlu mein makan deta hai

    dil o jaan mujh se wo mange hai baha-e-bosa

    hai to sauda bahut achchha pe giran deta hai

    ye dam-e-sard hai kis ka ki har ek naKHl-ba-bagh

    yaad-e-be-bargi-e-ayyam-e-KHizan deta hai

    phul jhaDte hain munh us ke se hazaron mujh ko

    galiyan gar kabhi wo ghuncha-dahan deta hai

    jaan darwaze par us ke hi main ja kar dunga

    iztirab-e-dil agar mujh ko aman deta hai

    'mushafi' main hadaf-e-naz hun aur wan ghamza

    dam-ba-dam dast-e-taghaful mein kaman deta hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now