Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

munh tera kyun aaj zor-e-na-tawani phir gaya

Murli Dhar Shad

munh tera kyun aaj zor-e-na-tawani phir gaya

Murli Dhar Shad

MORE BYMurli Dhar Shad

    muñh tirā kyuuñ aaj zor-e-nā-tavānī phir gayā

    us ke aate mire chehre pe paanī phir gayā

    bhuul kar āshiq tumhārā rahā thā tuur par

    duur se sun kar sadā-e-lan-tarānī phir gayā

    zillat-o-rusvā.ī had bhī hai koī Duub mar

    ai dil-e-nākām ab to sar pe paanī phir gayā

    us ke aage ne phailāyā agar dast-e-savāl

    yaad rakh ai dil sulūk-e-mehrbānī phir gayā

    dil miTāyā terī ḳhātir jaan parvā na

    kis liye ham se ai ahd-e-javānī phir gayā

    be-sutūñ ko kaaT kar laayā thā zālim jū-e-shīr

    kohkan hasratoñ par phir bhī paanī phir gayā

    pattiyāñ pazhmurda phūloñ chaman meñ dekh kar

    sāmne āñkhoñ ke daur-e-aish-e-fānī phir gayā

    kal khilī thī jo kalī hai aaj murjhā.ī huī

    merī nazroñ meñ ma.āl-e-zindagānī phir gayā

    bul-havas muñh ho kaalā kaan meñ kyā kah diyā

    aap ke chehre pe rañg-e-arġhavānī phir gayā

    barq ban kar aaj vo mahfil meñ aa.e is tarah

    merī āñkhoñ meñ mirā ahd-e-javānī phir gayā

    bhar ke saaqī ne diyā jām-e-sharāb-e-arġhavāñ

    'shād' ke chehre pe rañg-e-shādmānī phir gayā

    munh tera kyun aaj zor-e-na-tawani phir gaya

    us ke aate hi mere chehre pe pani phir gaya

    bhul kar aashiq tumhaara ja raha tha tur par

    dur se sun kar sada-e-lan-tarani phir gaya

    zillat-o-ruswai ki had bhi hai koi Dub mar

    ai dil-e-nakaam ab to sar pe pani phir gaya

    us ke aage tu ne phailaya agar dast-e-sawal

    yaad rakh ai dil suluk-e-mehrbani phir gaya

    dil miTaya teri KHatir jaan ki parwa na ki

    kis liye tu hum se ai ahd-e-jawani phir gaya

    be-sutun ko kaT kar laya tha zalim ju-e-shir

    kohkan ki hasraton par phir bhi pani phir gaya

    pattiyan pazhmurda phulon ki chaman mein dekh kar

    samne aankhon ke daur-e-aish-e-fani phir gaya

    kal khili thi jo kali hai aaj murjhai hui

    meri nazron mein maal-e-zindagani phir gaya

    bul-hawas ka munh ho kala kan mein kya kah diya

    aap ke chehre pe rang-e-arghawani phir gaya

    barq ban kar aaj wo mahfil mein aae is tarah

    meri aankhon mein mera ahd-e-jawani phir gaya

    bhar ke saqi ne diya jam-e-sharab-e-arghawan

    'shad' ke chehre pe rang-e-shadmani phir gaya

    Source:

    Gul-o-Anjum (Pg. 102)

    • Author: Murli Dhar Shad
      • Edition: 1950
      • Year of Publication: 1950
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now