Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

munh-zor aarzuon ki be-mehriyan na puchh

Roohi Kanjahi

munh-zor aarzuon ki be-mehriyan na puchh

Roohi Kanjahi

MORE BYRoohi Kanjahi

    muñh-zor ārzūoñ be-mehriyāñ na pūchh

    begāna ho rahī haiñ ye kar kahāñ na pūchh

    fehrist muhsinoñ nihāyat tavīl hai

    mujh se mirī tabāhiyoñ dāstāñ na pūchh

    mujh ko panāh na tire ġham ne bhī kabhī

    maiñ de rahā huuñ kitne ġhamoñ ko amaañ na pūchh

    har zaḳhm chand zaḳhmoñ kartā hai parvarish

    kaise sadā-bahār hai ye gulsitāñ na pūchh

    dasht-e-vafā vus.atoñ ko sakā hai kaun

    gum kis qadar hue haiñ yahāñ kārvāñ na pūchh

    vābasta moḌ moḌ se haiñ kitne hādsāt

    ye qatl-gāh hai ki dayār-e-butāñ na pūchh

    munh-zor aarzuon ki be-mehriyan na puchh

    begana ho rahi hain ye la kar kahan na puchh

    fehrist muhsinon ki nihayat tawil hai

    mujh se meri tabahiyon ki dastan na puchh

    mujh ko panah di na tere gham ne bhi kabhi

    main de raha hun kitne ghamon ko aman na puchh

    har zaKHm chand zaKHmon ki karta hai parwarish

    kaise sada-bahaar hai ye gulsitan na puchh

    dasht-e-wafa ki wusaton ko pa saka hai kaun

    gum kis qadar hue hain yahan karwan na puchh

    wabasta moD moD se hain kitne hadsat

    ye qatl-gah hai ki dayar-e-butan na puchh

    Source:

    Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002) (Pg. 871)

      • Edition: 1969
      • Publisher: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now