aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

munim na hath khinch madad se gharib ki

Basir Sultan Kazmi

munim na hath khinch madad se gharib ki

Basir Sultan Kazmi

MORE BYBasir Sultan Kazmi

    mun.im na haath khīñch madad se ġharīb

    rozī hai tere rizq meñ us ke nasīb

    hairān-kun thī chup bhī tumhārī mire liye

    bole ho ab to baat bhī tum ne ajiib

    sāmān-e-aish dekh ke bazm-e-nashāt meñ

    rahtī hai shab kis ko nasīhat tabīb

    kab tak karoge ahl-e-siyāsat pe e'tibār

    yaaro kabhī suno kisī shā.ir adiib

    ho jin sab tavajjoh samundar ke us taraf

    un ko sadā sunā.ī na degī qarīb

    sīna-ba-sīna kartī hai ye har taraf safar

    haq baat ko nahīñ hai zarūrat naqīb

    'bāsir' bilā muqābla vo muntaḳhab huā

    merī shikasta-pā.ī hai mohsin raqīb

    munim na hath khinch madad se gharib ki

    rozi hai tere rizq mein us ke nasib ki

    hairan-kun thi chup bhi tumhaari mere liye

    bole ho ab to baat bhi tum ne ajib ki

    saman-e-aish dekh ke bazm-e-nashat mein

    rahti hai shab kis ko nasihat tabib ki

    kab tak karoge ahl-e-siyasat pe e'tibar

    yaro kabhi suno kisi shair adib ki

    ho jin ki sab tawajjoh samundar ke us taraf

    un ko sada sunai na degi qarib ki

    sina-ba-sina karti hai ye har taraf safar

    haq baat ko nahin hai zarurat naqib ki

    'basir' bila muqabla wo muntaKHab hua

    meri shikasta-pai hai mohsin raqib ki

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now