Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

muntashir ho kar rahe ye aisa shiraaza na tha

Gulzar Vafa Chaudhari

muntashir ho kar rahe ye aisa shiraaza na tha

Gulzar Vafa Chaudhari

MORE BYGulzar Vafa Chaudhari

    muntashir ho kar rahe ye aisā shīrāza na thā

    ḳhaak ho jaanā mire hone ḳhamyāza na thā

    maiñ butūn-e-zāt meñ aur ḳhalā meñ gum rahā

    ḳhaak ke jauhar ham donoñ ko andāza na thā

    āb-pāshī se rahe ġhāfil shajar-kārī ke ba.ad

    ab jo dekhā ek paudā bhī tar-o-tāza na thā

    ham meñ jo āzād thā āzād-tar ho kar rahā

    ab vahī be-ghar hai jis ke ghar darvāza na thā

    jabr ke ehsās āvāz to pahle bhī thī

    inqalāb-e-qismat-e-ādam āvāza na thā

    muntashir ho kar rahe ye aisa shiraaza na tha

    KHak ho jaana mere hone ka KHamyaza na tha

    main butun-e-zat mein aur tu KHala mein gum raha

    KHak ke jauhar ka hum donon ko andaza na tha

    aab-pashi se rahe ghafil shajar-kari ke baad

    ab jo dekha ek pauda bhi tar-o-taza na tha

    hum mein jo aazad tha aazad-tar ho kar raha

    ab wahi be-ghar hai jis ke ghar ka darwaza na tha

    jabr ke ehsas ki aawaz to pahle bhi thi

    inqalab-e-qismat-e-adam ka aawaza na tha

    Source:

    Muasir (Pg. 234)

    • Author: Habibullah
      • Publisher: Maktaba muasir 304 alfaisal palaza, Shahrah qaid-e-azam, lahore
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now