Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

muntashir hote hue ambar ko taswir kar

Hina Ambareen

muntashir hote hue ambar ko taswir kar

Hina Ambareen

MORE BYHina Ambareen

    muntashir hote hue ambār ko tasvīr kar

    soch photo banā afkār ko tasvīr kar

    sabr ko kar canvas jo yaar ḳhātir sahā

    yaar photo banā phir ġhaar ko tasvīr kar

    camere meñ qaid kar tahrīr taklīf ko

    hijr meñ likkhe ga.e ash.ār ko tasvīr kar

    raat din phir un se kar to ham-kalāmī guftugū

    iiñT ik dil banā dīvār ko tasvīr kar

    ik qayāmat dekh le rohingya par TūTtī

    dard ko ik shakl de āzār ko tasvīr kar

    ḳhvāhishoñ ke ḳhūbsūrat qasr ta.amīr kar

    kar mujassam ḳhvāb ko me.amār ko tasvīr kar

    muntashir hote hue ambar ko taswir kar

    soch ki photo bana afkar ko taswir kar

    sabr ko kar canwas jo yar ki KHatir saha

    yar ki photo bana phir ghaar ko taswir kar

    camere mein qaid kar tahrir ki taklif ko

    hijr mein likkhe gae ashaar ko taswir kar

    raat din phir un se kar to ham-kalami guftugu

    inT ka ek dil bana diwar ko taswir kar

    ek qayamat dekh le rohingya par TuTti

    dard ko ek shakl de aazar ko taswir kar

    KHwahishon ke KHubsurat qasr ki tamir kar

    kar mujassam KHwab ko meamar ko taswir kar

    Source:

    Word File Mail By Salim Saleem

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now