muntazir rahna bhi kya chahat ka KHamyaza nahin

Muzaffar Warsi

muntazir rahna bhi kya chahat ka KHamyaza nahin

Muzaffar Warsi

MORE BYMuzaffar Warsi

  muntazir rahnā bhī kyā chāhat ḳhamyāza nahīñ

  kaan dastak par lage haiñ ghar darvāza nahīñ

  haath par ne muqaddar lakīreñ khīñch diiñ

  kyā tujhe bhī mere mustaqbil andāza nahīñ

  dekhnā chāhūñ to ḳhushbū, chhūnā chāhūñ to havā

  mere dāman tak jo aa.e vo shīrāza nahīñ

  dafan huuñ ehsās sadiyoñ purānī qabr meñ

  zindagī ik zaḳhm hai aur zaḳhm bhī taaza nahīñ

  tum ai ḳhāmoshiyo patthar uThā lo haath meñ

  koī naġhma koī naala koī āvāza nahīñ

  husn pahchānegī merā dekhne vaalī nazar

  ḳhuuñ to hai āñkhoñ meñ chehre par agar ġhāza nahīñ

  māñgte haiñ kyuuñ 'muzaffar' log bārish duā

  tishnagī-e-rūh jismoñ ko andāza nahīñ

  muntazir rahna bhi kya chahat ka KHamyaza nahin

  kan dastak par lage hain ghar ka darwaza nahin

  hath par tu ne muqaddar ki lakiren khinch din

  kya tujhe bhi mere mustaqbil ka andaza nahin

  dekhna chahun to KHushbu, chhuna chahun to hawa

  mere daman tak jo aae tu wo shiraaza nahin

  dafan hun ehsas ki sadiyon purani qabr mein

  zindagi ek zaKHm hai aur zaKHm bhi taza nahin

  tum hi ai KHamoshiyo patthar uTha lo hath mein

  koi naghma koi nala koi aawaza nahin

  husn pahchanegi mera dekhne wali nazar

  KHun to hai aankhon mein chehre par agar ghaza nahin

  mangte hain kyun 'muzaffar' log barish ki dua

  tishnagi-e-ruh ka jismon ko andaza nahin

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY