Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

muqaddar ne kahan koi naya paigham likkha hai

Abdul Hafeez Sahil Qadri

muqaddar ne kahan koi naya paigham likkha hai

Abdul Hafeez Sahil Qadri

MORE BYAbdul Hafeez Sahil Qadri

    muqaddar ne kahāñ koī nayā paiġhām likkhā hai

    azal se varaq par dil ke terā naam likkhā hai

    qadam meñ jānib-e-manzil baḌhā.ūñ kyā ki qismat ne

    jahāñ āġhāz likkhā thā vahīñ anjām likkhā hai

    shikāyat kyā karūñ saaqī se maiñ us ke taġhāful

    mire hoñToñ ke hisse meñ ḳhālī jaam likkhā hai

    hameñ haiñ muntaḳhab roz-e-azal se dard ḳhātir

    hamāre nāma-e-qismat meñ har ilzām likkhā hai

    musalsal ġham musalsal dard se tañg aa ke ai 'sāhil'

    ham aise ahl-e-furqat ne sahar ko shaam likkhā hai

    muqaddar ne kahan koi naya paigham likkha hai

    azal hi se waraq par dil ke tera nam likkha hai

    qadam mein jaanib-e-manzil baDhaun kya ki qismat ne

    jahan aaghaz likkha tha wahin anjam likkha hai

    shikayat kya karun saqi se main us ke taghaful ki

    mere honTon ke hisse hi mein KHali jam likkha hai

    hamein hain muntaKHab roz-e-azal se dard ki KHatir

    hamare nama-e-qismat mein har ilzam likkha hai

    musalsal gham musalsal dard se tang aa ke ai 'sahil'

    hum aise ahl-e-furqat ne sahar ko sham likkha hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now