Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

muqaddas pattharon par muddaa raushan na hone ka

Khursheed Akbar

muqaddas pattharon par muddaa raushan na hone ka

Khursheed Akbar

MORE BYKhursheed Akbar

    muqaddas pattharoñ par mudda.ā raushan na hone

    kahāñ sar phoḌiye ab mo.ajaza raushan na hone

    bhaTaktā phir rahā huuñ nafs ke andhe jazīre meñ

    sunā hai apne hisse ḳhudā raushan na hone

    sarāyat kar ga.iiñ īmān ḳhush-fahmiyāñ ḳhuuñ meñ

    darūn-e-qalb koī vasvasa raushan na hone

    mire talvoñ pe masnad ho ga.e kāñTe bayābāñ ke

    dil-e-vahshat-zada meñ aabla raushan na hone

    maiñ us pahlī bārish ban ke jā.ūñgā chupke se

    nahīñ to is zamīñ zā.iqa raushan na hone

    muqaddas pattharon par muddaa raushan na hone ka

    kahan sar phoDiye ab moajaza raushan na hone ka

    bhaTakta phir raha hun nafs ke andhe jazire mein

    suna hai apne hisse ka KHuda raushan na hone ka

    sarayat kar gain iman ki KHush-fahmiyan KHun mein

    darun-e-qalb koi waswasa raushan na hone ka

    mere talwon pe masnad ho gae kanTe bayaban ke

    dil-e-wahshat-zada mein aabla raushan na hone ka

    main us ki pahli barish ban ke pi jaunga chupke se

    nahin to is zamin ka zaiqa raushan na hone ka

    Source:

    Samundar Khilaf Rahta Hai (Pg. ebook-82 page-80)

    • Author: Khursheed Akbar
      • Edition: 1994
      • Publisher: Asari Sang-e-Meel Publication, Patna
      • Year of Publication: 1994
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now