Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

murid-e-dair-o-haram kam-se-kam ye kaam karen

Ameen Salaunvi

murid-e-dair-o-haram kam-se-kam ye kaam karen

Ameen Salaunvi

MORE BYAmeen Salaunvi

    murīd-e-dair-o-haram kam-se-kam ye kaam kareñ

    hadīs-e-dard-e-mohabbat zauq aam kareñ

    yahī minnat-e-ārām ye muqaddar hai

    ġhamoñ dhuup meñ rāhat ehtimām kareñ

    abhī na deñ hameñ ilzām bevafā.ī

    ḳhud apne va.adoñ kahiye vo ehtirām kareñ

    jo tishna-kām tire mai-kade meñ hoñ saaqī

    mire lahūñ se vo labrez apne jaam kareñ

    abhī na jeb na dāman na āstīñ pata

    yaqīn-e-mausam-e-gul ho to intizām kareñ

    unhīñ ke lab pe hai amn-o-amīñ afsāna

    vahī jo hazrat-e-insāñ qatl-e-ām kareñ

    gumāñ se ahd-e-yaqīñ tak sukūñ ho duniyā

    ḳhushī ke saath jo ġham bhī ehtimām kareñ

    mazāq-e-ahl-e-gulistāñ jo saath de jaa.e

    qafas-nasīboñ yādoñ ehtirām kareñ

    ye daur-e-hashr nahīñ hai to aur kyā hai 'amīñ'

    kise pukāreñ yahāñ kis ko ham-kalām kareñ

    murid-e-dair-o-haram kam-se-kam ye kaam karen

    hadis-e-dard-e-mohabbat ka zauq aam karen

    yahi minnat-e-aram ye muqaddar hai

    ghamon ki dhup mein rahat ka ehtimam karen

    abhi na den hamein ilzam bewafai ka

    KHud apne wadon ka kahiye wo ehtiram karen

    jo tishna-kaam tere mai-kade mein hon saqi

    mere lahun se wo labrez apne jam karen

    abhi na jeb na daman na aastin ka pata

    yaqin-e-mausam-e-gul ho to intizam karen

    unhin ke lab pe hai amn-o-amin ka afsana

    wahi jo hazrat-e-insan ka qatl-e-am karen

    guman se ahd-e-yaqin tak sukun ki ho duniya

    KHushi ke sath jo gham ka bhi ehtimam karen

    mazaq-e-ahl-e-gulistan jo sath de jae

    qafas-nasibon ki yaadon ka ehtiram karen

    ye daur-e-hashr nahin hai to aur kya hai 'amin'

    kise pukaren yahan kis ko ham-kalam karen

    Source:

    Naqeeb-e-Sahar (Pg. e-42 p-41)

      • Publisher: Kul Hind Hindi Urdu Sangam Lucknow
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now