musafir chale the abhi tak na pahunche
musāfir chale the abhī tak na pahuñche
ye afvāh terī galī tak na pahuñche
na.e po.e ḳhud saañp hī kī ġhizā hai
ye fitna kahīñ aadmī tak na pahuñche
vo kyā sar kareñge samundar kī maujeñ
jo chal ke ḳhud apnī nadī tak na pahuñche
ziyāda mohabbat se dil kāñptā hai
kahīñ ye karam be-ruḳhī tak na pahuñche
zamāne se 'sajjād' ham chal rahe haiñ
magar aaj bhī raushnī tak na pahuñche
musafir chale the abhi tak na pahunche
ye afwah teri gali tak na pahunche
nae poe KHud sanp hi ki ghiza hai
ye fitna kahin aadmi tak na pahunche
wo kya sar karenge samundar ki maujen
jo chal ke KHud apni nadi tak na pahunche
ziyaada mohabbat se dil kanpta hai
kahin ye karam be-ruKHi tak na pahunche
zamane se 'sajjad' hum chal rahe hain
magar aaj bhi raushni tak na pahunche
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.