Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

musafir KHana-e-imkan mein bistar chhoD jate the

Nashtar Khaanqahi

musafir KHana-e-imkan mein bistar chhoD jate the

Nashtar Khaanqahi

MORE BYNashtar Khaanqahi

    musāfir ḳhāna-e-imkāñ meñ bistar chhoḌ jaate the

    vo ham the jo charāġhoñ ko munavvar chhoḌ jaate the

    sabhī ko agle farsañgoñ paimā.ish muqaddar thī

    musāfir tai-shuda mīloñ ke patthar chhoḌ jaate the

    garajte-gūñjte aate the jo sunsān sahrā meñ

    vahī bādal ajab vīrān manzar chhoḌ jaate the

    na thiiñ ma.alūm bhūkī nasl majbūriyāñ un ko

    phaTī chādar vo talvāroñ ke uupar chhoḌ jaate the

    nahīñ kuchh e'tibār ab qufl o darbāñ kabhī ham bhī

    paḌosī ke bharose par khulā ghar chhoḌ jaate the

    lahū par apne mauqūf thī dhartī zarḳhezī

    sabhī dahqāñ yahāñ khetoñ ko banjar chhoḌ jaate the

    kabhī āñdhī ḳhadsha thā kabhī tūfāñ andesha

    vo registān le jaate to sāgar chhoḌ jaate the

    musafir KHana-e-imkan mein bistar chhoD jate the

    wo hum the jo charaghon ko munawwar chhoD jate the

    sabhi ko agle farsangon ki paimaish muqaddar thi

    musafir tai-shuda milon ke patthar chhoD jate the

    garajte-gunjte aate the jo sunsan sahra mein

    wahi baadal ajab viran manzar chhoD jate the

    na thin malum bhuki nasl ki majburiyan un ko

    phaTi chadar wo talwaron ke upar chhoD jate the

    nahin kuchh e'tibar ab qufl o darban ka kabhi hum bhi

    paDosi ke bharose par khula ghar chhoD jate the

    lahu par apne hi mauquf thi dharti ki zarKHezi

    sabhi dahqan yahan kheton ko banjar chhoD jate the

    kabhi aandhi ka KHadsha tha kabhi tufan ka andesha

    wo registan le jate to sagar chhoD jate the

    Source:

    Inkaar (Pg. 146)

      • Edition: 1983
      • Year of Publication: 1983
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now