Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

musalman dekh kar ab dil ki hairani nahin jati

Nazar Lakhnawi

musalman dekh kar ab dil ki hairani nahin jati

Nazar Lakhnawi

MORE BYNazar Lakhnawi

    musalmāñ dekh kar ab dil hairānī nahīñ jaatī

    kujā sīrat ki sūrat tak bhī pahchānī nahīñ jaatī

    hadīs-e-ġham sunāne se pareshānī nahīñ jaatī

    magar kuchh log haiñ jin ye nādānī nahīñ jaatī

    janāb-e-shaiḳh bol uTTheñ ba-har mab.has ba-har mauqa

    ki un ḳhū-e-pindār-e-hama-dānī nahīñ jaatī

    sunā sail-e-tamannā meñ hazāroñ shahr-e-dil Duube

    magar phir bhī tamannāoñ tuġhyānī nahīñ jaatī

    sajāyā ham ne tasvīr-e-butāñ se ḳhāna-e-dil ko

    magar bā.īñ hama us ghar vīrānī nahīñ jaatī

    mohammad-mustafā shān-e-rif.at koī kyā jaane

    jahāñ vo haiñ vahāñ tak fikr-e-insānī nahīñ jaatī

    kiyā logoñ ne gard-ālūd kitnā chehra-e-māzī

    'nazar' hairat hai phir bhī is tābānī nahīñ jaatī

    musalman dekh kar ab dil ki hairani nahin jati

    kuja sirat ki surat tak bhi pahchani nahin jati

    hadis-e-gham sunane se pareshani nahin jati

    magar kuchh log hain jin ki ye nadani nahin jati

    janab-e-shaiKH bol uTThen ba-har mabhas ba-har mauqa

    ki un ki KHu-e-pindar-e-hama-dani nahin jati

    suna sail-e-tamanna mein hazaron shahr-e-dil Dube

    magar phir bhi tamannaon ki tughyani nahin jati

    sajaya hum ne taswir-e-butan se KHana-e-dil ko

    magar bain hama us ghar ki virani nahin jati

    mohammad-mustafa ki shan-e-rifat koi kya jaane

    jahan wo hain wahan tak fikr-e-insani nahin jati

    kiya logon ne gard-alud kitna chehra-e-mazi

    'nazar' hairat hai phir bhi is ki tabani nahin jati

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now