Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

musalman ke lahu mein hai saliqa dil-nawazi ka

Allama Iqbal

musalman ke lahu mein hai saliqa dil-nawazi ka

Allama Iqbal

MORE BYAllama Iqbal

    Interesting Fact

    Written in Kabul (Bal-e-Jibril)

    musalmāñ ke lahū meñ hai salīqa dil-navāzī

    muravvat husn-e-ālam-gīr hai mardān-e-ġhāzī

    shikāyat hai mujhe rab ḳhudāvañdān-e-maktab se

    sabaq shāhīñ bachchoñ ko de rahe haiñ ḳhāk-bāzī

    bahut muddat ke naḳhchīroñ andāz-e-nigah badlā

    ki maiñ ne faash kar Daalā tarīqa shāh-bāzī

    qalandar juz do harf-e-lā-ilāh kuchh bhī nahīñ rakhtā

    faqīh-e-shahr qārūñ hai luġhat-hā-e-hijāzī

    hadīs-e-bāda-o-mīnā-o-jām aatī nahīñ mujh ko

    na kar ḳhārā-shigāfoñ se taqāzā shīsha-sāzī

    kahāñ se ne ai 'iqbāl' sīkhī hai ye darveshī

    ki charchā pādshāhoñ meñ hai terī be-niyāzī

    musalman ke lahu mein hai saliqa dil-nawazi ka

    murawwat husn-e-alam-gir hai mardan-e-ghazi ka

    shikayat hai mujhe ya rab KHudawandan-e-maktab se

    sabaq shahin bachchon ko de rahe hain KHak-bazi ka

    bahut muddat ke naKHchiron ka andaz-e-nigah badla

    ki main ne fash kar Dala tariqa shah-bazi ka

    qalandar juz do harf-e-la-ilah kuchh bhi nahin rakhta

    faqih-e-shahr qarun hai lughat-ha-e-hijazi ka

    hadis-e-baada-o-mina-o-jam aati nahin mujh ko

    na kar KHara-shigafon se taqaza shisha-sazi ka

    kahan se tu ne ai 'iqbaal' sikhi hai ye darweshi

    ki charcha padshahon mein hai teri be-niyazi ka

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Unknown

    Unknown

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now