Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

musalsal ashk-bari kar raha tha

Liaqat Jafri

musalsal ashk-bari kar raha tha

Liaqat Jafri

MORE BYLiaqat Jafri

    musalsal ashk-bārī kar rahā thā

    maiñ apnī ābiyārī kar rahā thā

    mujhe vo ḳhvāb phir se dekhnā thā

    maiñ ḳhud pe niiñd taarī kar rahā thā

    ka.ī din tak thā merī dastaras meñ

    maiñ ab dariyā ko jaarī kar rahā thā

    mujhe ruk ruk ke panchhī dekhte the

    maiñ patthar par savārī kar rahā thā

    guzarnā thā bahut mushkil udhar se

    darīcha chāñd-mārī kar rahā thā

    koī atom thā mere jism-o-jāñ meñ

    maiñ jis tāb-kārī kar rahā thā

    safīne sab ke sab ġharqāb kar ke

    samundar āh-o-zārī kar rahā thā

    mujhe fitrat bhī ghistī rahī thī

    maiñ ḳhud bhī reg-mārī kar rahā thā

    merī duty thī ḳhemoñ hifāzat

    magar maiñ āb-dārī kar rahā thā

    sitāre TimTimānā ruk ga.e the

    maiñ phir aḳhtar-shumārī kar rahā thā

    mujhe bhiḌnā thā kis vahshī se lekin

    maiñ kis pāgal se yaarī kar rahā thā

    bahut se kaam karne the 'liyāqat'

    jinheñ maiñ baarī baarī kar rahā thā

    musalsal ashk-bari kar raha tha

    main apni aabiyari kar raha tha

    mujhe wo KHwab phir se dekhna tha

    main KHud pe nind tari kar raha tha

    kai din tak tha meri dastaras mein

    main ab dariya ko jari kar raha tha

    mujhe ruk ruk ke panchhi dekhte the

    main patthar par sawari kar raha tha

    guzarna tha bahut mushkil udhar se

    daricha chand-mari kar raha tha

    koi atom tha mere jism-o-jaan mein

    main jis ki tab-kari kar raha tha

    safine sab ke sab gharqab kar ke

    samundar aah-o-zari kar raha tha

    mujhe fitrat bhi ghisti ja rahi thi

    main KHud bhi reg-mari kar raha tha

    meri duty thi KHemon ki hifazat

    magar main aab-dari kar raha tha

    sitare TimTimana ruk gae the

    main phir aKHtar-shumari kar raha tha

    mujhe bhiDna tha kis wahshi se lekin

    main kis pagal se yari kar raha tha

    bahut se kaam karne the 'liyaqat'

    jinhen main bari bari kar raha tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now