Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mushkilen lakh hon lekin meri KHwahish hogi

Arti Kumari

mushkilen lakh hon lekin meri KHwahish hogi

Arti Kumari

MORE BYArti Kumari

    mushkileñ laakh hoñ lekin mirī ḳhvāhish hogī

    aap saath nibhāne to koshish hogī

    tohmateñ kitnī lagāoge mohabbat pe mirī

    is se to shahr meñ nafrat numā.ish hogī

    in añdheroñ se koī ḳhauf nahīñ hai mujh ko

    maiñ samajhtī huuñ yahāñ nuur bārish hogī

    koī munsif kisī mujrim ko sazā kaise de

    jab adālat meñ vakīloñ sifārish hogī

    ab to mazlūm bhī ḳhanjar sahārā legā

    na koī vintī karegā na guzārish hogī

    mushkilen lakh hon lekin meri KHwahish hogi

    aap ka sath nibhane ki to koshish hogi

    tohmaten kitni lagaoge mohabbat pe meri

    is se to shahr mein nafrat ki numaish hogi

    in andheron se koi KHauf nahin hai mujh ko

    main samajhti hun yahan nur ki barish hogi

    koi munsif kisi mujrim ko saza kaise de

    jab adalat mein wakilon ki sifarish hogi

    ab to mazlum bhi KHanjar ka sahaara lega

    na koi winti karega na guzarish hogi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now