Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mushtaq hi dil barson us ghuncha-dahan ka tha

Mushafi Ghulam Hamdani

mushtaq hi dil barson us ghuncha-dahan ka tha

Mushafi Ghulam Hamdani

MORE BYMushafi Ghulam Hamdani

    mushtāq dil barsoñ us ġhuncha-dahan thā

    yaaro mire aur us ke kab rabt suḳhan thā

    vaañ bāloñ meñ vo mukhḌā jaatā thā chhupā kam kam

    yaañ hashr mire dil par ik chāñd gahan thā

    the ḳhatt-e-shikasta ruḳhsār tire ta.alīm

    az-bas-ke hujūm un par zulfoñ shikan thā

    parvāne himmat ke sadqe meñ ki shab vo

    is be-par-o-bālī par qurbān lagan thā

    āḳhir ko hameñ zālim pāmāl kiyā ne

    andesha hameñ dil meñ tere chalan thā

    maiñ us qad o aariz ko kar yaad bahut royā

    mazkūr gulistāñ meñ kuchh sarv-o-saman thā

    juuñ ashk-e-sar-e-mizhgāñ ham phir na nazar aa.e

    az-bas-ke yahāñ vaqfa ik chashm-e-zadan thā

    do phuul koī rakh kar guzrā thā jo kal yaañ se

    turbat pe mirī bulvā murġhān-e-chaman thā

    jis murġh-e-chaman ko maiñ dekhā to chaman meñ bhī

    hasrat-kash-e-nazzāra us rashk-e-chaman thā

    shab dekh mah-e-tābāñ thā 'mus.hafī' hairāñ

    kyā is meñ bhī kuchh naqsha us sīm-badan thā

    mushtaq hi dil barson us ghuncha-dahan ka tha

    yaro mere aur us ke kab rabt suKHan ka tha

    wan baalon mein wo mukhDa jata tha chhupa kam kam

    yan hashr mere dil par ek chand gahan ka tha

    the KHatt-e-shikasta ki ruKHsar tere talim

    az-bas-ke hujum un par zulfon ki shikan ka tha

    parwane ki himmat ke sadqe mein ki di shab wo

    is be-par-o-baali par qurban lagan ka tha

    aaKHir ko hamein zalim pamal kiya tu ne

    andesha hamein dil mein tere hi chalan ka tha

    main us qad o aariz ko kar yaad bahut roya

    mazkur gulistan mein kuchh sarw-o-saman ka tha

    jun ashk-e-sar-e-mizhgan hum phir na nazar aae

    az-bas-ke yahan waqfa ek chashm-e-zadan ka tha

    do phul koi rakh kar guzra tha jo kal yan se

    turbat pe meri bulwa murghan-e-chaman ka tha

    jis murgh-e-chaman ko main dekha to chaman mein bhi

    hasrat-kash-e-nazzara us rashk-e-chaman ka tha

    shab dekh mah-e-taban tha 'mushafi' tu hairan

    kya is mein bhi kuchh naqsha us sim-badan ka tha

    Source :
    • Book : kulliyat-e-mas.hafii(awwal) (Pg. 107)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now