Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mushtaq the jis ke jalwon ke aankhon ka chhalakta jam liye

Muslim Ansari

mushtaq the jis ke jalwon ke aankhon ka chhalakta jam liye

Muslim Ansari

MORE BYMuslim Ansari

    mushtāq the jis ke jalvoñ ke āñkhoñ chhalaktā jaam liye

    vo sub.h-e-tarab aa.ī to magar dāman meñ hazāroñ shaam liye

    is daur-e-tarab meñ ai hamdam mat pūchh masarrat aalam

    bhūle se hañsī aa.ī to magar talḳhī-e-ġham-e-ayyām liye

    aisā na ho ik din ghabrā kar maiñ tark-e-mohabbat kar baiThūñ

    dekhoge mirī jānib kab tak tum silsila-e-auhām liye

    zindān-o-qafas baat nahīñ ye haal hai apnā gulshan meñ

    paanī jo milā to zahr milā daana jo milā ik daam liye

    'muslim' mujhe apne miTne kuchh fikr nahīñ haañ ġham ye hai

    is daur meñ jo fitna bhī uThā kam-baḳht mirā naam liye

    mushtaq the jis ke jalwon ke aankhon ka chhalakta jam liye

    wo subh-e-tarab aai to magar daman mein hazaron sham liye

    is daur-e-tarab mein ai hamdam mat puchh masarrat ka aalam

    bhule se hansi aai to magar talKHi-e-gham-e-ayyam liye

    aisa na ho ek din ghabra kar main tark-e-mohabbat kar baiThun

    dekhoge meri jaanib kab tak tum silsila-e-auham liye

    zindan-o-qafas ki baat nahin ye haal hai apna gulshan mein

    pani jo mila to zahr mila dana jo mila ek dam liye

    'muslim' mujhe apne miTne ki kuchh fikr nahin han gham ye hai

    is daur mein jo fitna bhi uTha kam-baKHt mera hi nam liye

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now